You are working on Staging2

Young Purvi Ne Junior Nationals Me 4 Medals Jeetkar Badi Dhoom Machai

Braden Keith
by Braden Keith 0

August 26th, 2024 Hindi

Panaji: Purvi Ritesh Naik ne Odisha ke Bhuvneshwar me 40th Sub-Junior National Aquatic Championships 2024 me exceptional performance se sabhi ko surprise kar diya.

Sanquelim ke Harvalem ki 11 saal ki bachchi ne 4 medals jeete, jinme 50m freestyle me gold, 400m freestyle and 100m freestyle me 2 silver medal aur 200m freestyle me bronze medal shaamil hai. Iss tarah usne shaandar perform kiya.

November 2022 me Campal me Khelo India State Centre for Excellence me shaamil hone ke baad se, young player ne rapid progress kiya hai. Wah fast swimming kar rahi hai, teji se seconds kam kar rahi hai aur logon ka dhyan apni taraf aakarshit kar rahi hai. But wo sirf Goa aur neighbouring states ke swimmers ke saath compete kar rahi thi, Jahan unhone 68 medals jeete hain.

National Championship ak alag game hai.

Ye dekhte huye ki Purvi ne last year ki nationals me participate kiya tha aur five events me se kisi ke bhi finals me jagah nahi bana paai thi, medal jeetna achhi progress hai.

But Bhuwneshwar me iss youngster me jo kiya, usne sabhi ko shock kar diya hai. Isme unke coach Sujith TA bhi shaamil hain.

India ke fastest swimmer rahe chuke Sujith ne kaha, “Mujhe itne improvement aur itne medals ki ummeed nahi thi.” “Wah outstanding rahi hai. Uski timing seniors jitni hi achhi hai, kuchh swimmers ko chhodkar. Main use sahi age me training karne me able hun. Senior ke paas proper stroke nahi hote aur ise change karna mushkil hota hai kyunki isse speed affect hoti hai.

Purvi se expectations high hain.”

Sujith Campal me 50 se jada swimmers ko training dete hain isliye personal focus mushkil hai, Purvi ne apni dedication and progress se unki attention grab ki hai.

Medals ne uske parents ke face pe smile la di hai. Uske father Harvalem me hardware ki ak shop chalte hain aur uski Maa Namrata hi use first time pool par le gayi thi, jab Purvi ki age 4 saal bhi nahi hui thi.

Sab ke liye swimming classes 6 saal se start hoti hain but ye ak exception hai.

Namrata ne kaha, “Ye sab ak hobby ki tarah start hua but jaldi hi ye passion me change ho gaya.”

Jab Purvi ko Campal me training lena pada, Jahan unhe incharge Albert Dourado se har tarah ka possible support mila, schedule aur punishing tha: subah 3.30 baje uthna, subah 4 baje Sanquelim me ghar se nikle, training ke liye 5pm pe Campal pahonche, phir school se aane ke baad evening session ke liye pool jaaye.

Ak youngster ke liye bahot hi jada exhausting tha.

Tab uski Maa ne Panaji me shift hone ka decision liya. Wah Cujira me Mushtifund HS me enrolled thi, jo ki training venue ke hi paas tha aur baaki ka, jaisa ki wo kahte hain, history hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »