Indiatoday Ki News Report Jisme Btaya Gaya Ki Indian Para Swimmer Suyash Jadhav Ko Chal Rahe Paralympics Games Ke Men’s 100m Breaststroke SB7 Ke Final Se Bahar Kar Diya Gaya Hai. Bahar Karne Ki Wajah Hai Rule Violation.
Jadhav Jinhone 2018 Asian Para Games Mei Gold Medal Aur 2 Bronze Medal Jeeta Tha Aur Saath Hi 2016 German Swimming Mei Silver Medal Jeeta Tha,Unhe Diaquaify Kar Diya Gaya Hai Kyun Ki Unhone World Para Swimming Ke Rule Number 11.4.1 Ke Saath Comply Nhi Kiya. Ye Rule Kahta Hai Ki “ First Breaststroke Kick Se Pahle Kisi Bhi Time Starting Ke Baad Aur Hare K Turn Ke Baad, Ek Single Butterfly Kick Ki Permission Hai.”
27-Year-Old Jadhav, Jinke Dono Haath Elbow Ke Niche Se Kat Chuke The Electric Current Lagne Ki Wajah Se, Wo “Har Ek Turn Ke Baad Ek Se Jyada Fly Kick Perform Karte Huye Paaye Gaye.”
Is Week Is Event Mei Serrano Zarate CD Of Columbia Ne Apne Personal Best Timing 1:12.01s Ke Saath Gold Medal Jeeta.
Silver Aur Bronze, Russian Paralympic Committee Ke Egor Efrosinina Ne 1:16.43s Ki Timing Aur Australia Ke Blake Cochrane Ne 1:16.97s Ki Timing Ke Saath Jeeta.
S7 Class Ke Swimmers Ke Paas Limited Leg Function Karne Ko Rahta Hai Ya Phir Dono Leg Ke Parts Missing Rahte Hai, Ya Phir Amputations Rahta Hai. SB Ka Matlab Hota Hai Breaststroke.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.