Swimming Ki Duniya Mein Weight Training Ek Highly Debated Topic Hai. Strength Training Se Swimming Performance Kaise Improve Ki Jaati Hai, Aaiye Jaante Hai.
- PULL-UPS
Proper Stroke Ki Wajah Se Swimming Lats, Back, Shoulders Aur Wrist Mein Full Extension Hota Hai. Aur Isliye Properly Pull-Up Krne Ki Wajah Se Aise Movement Ko Pahle Se Hi Mimic Kiya Jaa Sakta Hai. Ye Swimmer Ko Water Mein Glide Krte Huye Swimmers Ko Unke Pull Ko Strengthen Krne Mein Help Krta Hai.
- LATERAL LUNGE:
Ye Movement Hips Aur Groin Ke Muscles Ko Open Karta Hai Aur Is Wajah Se Swimmer Ke Hip Rotation Ko Improve Krne Mein Bahot Help Milti Hai Kai Coaches Ke According Ye Bahot Vital Hota Hai Swimming Mein.
- ALTERNATING DUMBBELL PRESS:
Joint Par Bina Excessive Pressure Daalte Huye Ye Shoulder Stability Ko Promote Karta Hai. Lagataar Lap Swim Krne Ki Wajah Se Swimmers Apne Shoulders Par Excessive Amount Of Stress Put Krte Hai Aur Is Wajah Se Shoulder Stability Bahot Important Ho Jaati Hai. Shoulder Stability Develop Hone Se Swimmers Ko Unke Swim Career Mein Tendonitis Jaise Shoulder Issues Nhi Hote Hai.
- MINI BAND EXTERNAL ROTATION:
Is Exercise Se Aapke Hips Aur Glutes Kaafi Strengthen Hote Hai, Jo Ki Aapki Swimming Mein Bahot Power Provide Karta Hai.
- SQUAT JUMP:
Ye Exercise Aapke Knees, Ankles Aur Hips Par Focus Karti Hai. Jo Ki Important Hoti Hai Off The Blocks Aur Off The Wall Power Create Krne Ke Liye. Isse Swimmers Apni Speed Aur Reaction Time Ko Bhi Develop Kar Sakte Hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi