Sajan Prakash And Srihari Nataraj Ke Baad Ab Maana Patel Bhi Tokyo Olympics Me India Ko Represent Krengi. FINA Ne Universality Spot Me Maana Patel Ko 100m Backstroke Ke Liye Tokyo Olympics Ke Liye Confirm Kiya Hai. And Isi Ke Sath 3rd Indian Swimmer Ban Gyi Jo Tokyo Olympics Me Compete Krengi.
Sajan Prakash Sette Colli Trophy Me 200m Butterfly Me ‘A’ Cut Hasil Kiya And Iske Sath Hi Sajan Prakash Indian Swimming Ki History Me Phle Indian Swimmer Ban Gye Jinhone Olympic ‘A’ Cut Ko Achieve Kiya. Sajan Prakash Ke Baad Srihari Ne Bhi Sajan Ko Join Karte Hue ‘A’ Cut Hasil Kiya And Srihari 2nd Aise Swimmer Ban Gaye Jinhone ‘A’ Cut Hasil Kiya Ho And First Swimmer Jinhone 100m Back Me ‘A’ Cut Hasil Kiya Ho.
Sajan Prakash Ne 200m Back Me 1:56.38 Ka Time Karte Hue Apni Jagah Olympics Ke Liye Pakki Ki Wahi Srihari Ne 100m Back Me 53.77sec Ka Time Karke Sajan Ko Join Kiya.
Iss Achievement Ko Indian Swimming Ka Turning Point Ke Roop Me Dekha Ja Rha Hai And Ummid Ki Ja Rhi Hai Ki Aane Wale Olympics Me Indian Swimmers Na Sirf ‘A’ Cut Ko Hasil Krene Balki Podium Par Bhi Apni Jagah Pakki Karenge.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.