Para Paralympics 2024 me Para Swimming events 29 August se 7 September tak La Defense Arena me hongi.
Paralympic Programme me shaamil kiye jaane wale original sports me se ak, para swimming ki starting 1960 me Rome me huye first Paralympics Games me hui thi. Tab se ye sabse popular games me se ak ban gaya hai, jisme sabhi type ke ki physical and mental disabilities wale athletes participate kar sakte hain. Iska reason ye hai ki iss game me kisi special equipment ki jarurat nahi hoti (prostheses allowed nahi hain).
India ka para swimming se special tryst hai kyunki isi sport me country ne apna first Paralympics gold jeeta tha.
Murlikant Petkar ne 1972 ke Heidelberg Games me men’s 50m freestyle 3 event me gold medal jeeta tha. Petkar ne 37.33 second ka world record time banaya tha. Petkar ki jeet ne unhe Paralympic me India ka medalist and gold medalist bana diya.
Paris me 2024 ke edition me, India ke paas para swimming me keval ak athlete hoga- Suyash Narayan Jadhav, jo men’s 50m butterfly (S7 category) me compete karenge.
Classification in Para Swimming
Letter:S (=Swimming)
Number 1 to 10= physical impairment/ 11 to 13= intellectual impairment*. N.B. SB ka use kabhi kabhi breaststroke ke liye/ SM ka use Medley ke liye kiya jata hai.
Para Swimming Indian Schedule:
September 7
- 13:00- Men’s 50m Butterfly – S7 Heats
- 22:00 – Men’s 50m Butterfly – S7 Final Medal Round**
- ** Denotes subject to qualification
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi