Hello Swimmers Kaise Ho Sab ? Jaisa Ki Ham Sabko Pta Hai Ki School Nationals 24 Se Shuru Ho Rha Hai Or Kafi Sare New Face Ready Hai Compete Karne Ke Liye Lekin First Time National Me Compete Karna Kuch Swimmers Ke Liye Kafi Nervousness Wala Ho Skta Hai Kyuki National Level Par Participate Karna Jaha Puri Country Ke Har State Ke Best Swimmers Aakar Compete Karte Hai Or Unme Se Kuch Experienced Bhi Hote Hai, Lekin Iss National Level Competition Se Swimmers Ko Ek Positivity Ke Sath Treat Karna Chahiye Taki Haar Or Jeet Se Hat Kar Wo Apna Competition Ache Se De Ske. Mai Aaj Aapke Sath 2 Aise Video Share Krne Ja Rha Hu Jo Mujhe Lagta Hai Ki Young Swimmers Ko Or Unn Swimmers Ko Jarur Dekhna Chahiye Jo Khud Se Haar Man Chuke Hai Or Hopeless Ho Chuke Hai. Jaisa Ki Mai Hmesa Khta Hu Ki Sports Me Practice Se Jyada Motivation And Positive Chize Athletes Ko Aage Ki Or Push Krne Me Help Karti Hai. Parents Ko Ye Baat Smjhni Hogi Ki Sirf Workout/Practice Karne Se Young Athletes Srif Apne Sports Me Perfect Hote Hai Lekin Jeet Usi Ko Milti Hai Jo Perfect Hone Ke Sath Sath Khud Par Bhi Kabu Rkhta Hai, Kyuki Jo Athlete Jyada Workout Karta Hai Or Uske Baad Use Haar Ka Samna Karna Pdta Hai To Wo Ekdam Se Down Ho Jata Hai Jabki Wo Athlete Jo Khud Par Kabu Rkhta Hai Jo Haar Jeet Se Jyada Galtiyo Ko Dhyan Dekar Use Sudharne Par Or Ek Positive Thought Lekar Competition Me Aata Hai Wo Hmesa Success Jarur Pata Hai.
Niche Diye Gye Dono Video Ko Aap Apne Young Swimmers Ke Sath Jarur Share Kre Or Unko Competition Ke Time Stress Me Rkhne Ke Bjaye Khus Rkhe.
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp ► +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega