Japan Ke superstar and Tokyo 2020 me medal ke liye sabke hope Rikako Ikee ki taraf se ek buri khabar aa rhi hai ki unko leukemia hai, ye news unhone 12th feburary ko tweet ke jariye apne fans ko share kri.
ご報告です。 pic.twitter.com/zP2ykLRgCD
— 池江 璃花子 (@rikakoikee) February 12, 2019
Masaaki Yoshida jo ki ikee ke corporate sponsor ke vice chairman hai unhone btaya ki ikee abhi hospitalised hai and doctor mante hai ki unhone ye disease ko early stage me hi discover kar liya hai. (Japan Times)
Ikee australia me brit alys thomas and aussie emma mckeon ke sath training par thi. Lekin jaise hi unko iss disease ka pta laga unhone apni training ko beech me hi chhod kar japan aa gyi. Unke coach Jiro Miki ne kaha ki ikee thodi fatigued dikhne lgi thi and training me uski breathing phle se kafi heavy ho gyi thi jo ki phle kabhi nahi hui thi.
“Hamne unke blood and heart ko local hospital me check karwaya lekin yahi decide kiya ki jitni jaldi ho ske unti jaldi japan jana shi rhega taki baki ke tests ho ske,” – Miki ne btaya. “lekin is disease ko beat karne ke liye jo motivation hai, mai uske liye apna sar jhuka skta hu.”
Immediate plans ke liye, “mai thoda rest krungi and uske baad treatment ke liye tyar rhungi,”- ikee ne kaha “ mai kosis krungi ke mai aapko apna stronger version dikha saku. Aap sabhi ke encouragement and warm thoughts ke liye bahut bahut shuriya.
Is April me hone wale japanese championships me ikee se yahi umeed lgayi ja rhi thi ki wo kafi sare titles jit jati and ye competition 2019 FINA world championships ke liye qualifying bhi rhega. Lekin competiton ke time par ikee treatment me rhengi.
Join us
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi