Injury ke baad wapas aate hi kisi bhi sports mei apna best performance ya kahe ki peak performance show karna easy nhi hota hai. Par Triathlete Pragnya Mohan, ne 2022 ko Porbandar mei huye 2000 metres National Swimming Competition mei gold medal jeet kar ye kaam ko bahot easy dikhaya hai. Is competition ko Shree Ram Swimming Club ne Swimming Federation of India ke aegis ke under organized kiya tha. Ye race Porbandar ke coast par Arabian Sea mei hui thi.
Pragnya jinhone 14-45 years category mei compete kiya tha unhone 2000 metres open sea race mei 36m 44s mei gold medal jeeta. Jital Pitroda ne silver medal jeeta, jinhone 37m.02s ka timing liya tha, wahin Niva Raval ne 40m.24s ke saath Bronze medal jeeta. Is category mei 80 se jyada participants the.
Jeet ke baad TOI se baat krte huye Pragnya ne kaha, “2020 ke lockdown ke dauran mai Melbourne mei thi aur waha par open seas mei training krne ki wajah se bahot help hui. Open sea swimming mei, koi lanes nhi hoti hai pools ki tarah. Halaki, maine yaha par accha perform kar jeet paane mei kamyab rahi.” November 2021 mei 80 km meoi participate karte huye 80km mass start category jo ki ek cycling event tha usme wo aur 14 other girl participants home strait mei ek dusre ke uoar girr gaye the. “Maine apne right ankle mei sprain se suffer kiya aur apna right arm bhi injured kiya. Au rise sahi hone mei 1 month se bhi jyada ka samay laga. Injury ke baad ye meri pahli race hai aur mai khush un I maine jeet ke saath shuruwaat ki hai,” unhone kaha. Pragnya ne aage batate hye kaha ki ek baar ye COVID ka khatra pure tarah se khatam ho jaaye toh wo Europe jayengi 2024 Paris Olympics mei qualification ko dhyan mei rakhe huye.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi