India Mei Cricket Ke Alawa Baaki Sports Ki Kya Dasha Hai Ye Ab Kisi Se Chhupa Nhi Hai. Present Ki Baat Kare Toh Technology Ne Kuch Sports Aur Athletes Ki Conditions Toh Improve Kar Di Hai, Jisme National Sports Hockey Bhi Include Hai, But Kuch Time Pahle Tak National Aur International Winners Ki Haalat Acchi Nahi Thi. Unhe Utna Strong Banna Padta Tha Ki Wo Tea Bech Sake Aur Laborers Ki Tarah Kaam Kar Sake. Aaj Bhi Kuch Athletes Aise Hai Jo Yhi Kaam Karke Apna Parivaar Chala Rahe Hai. Unme Se Hi Ek Hai Patna Ke Gopal Prasad Yadav. Unhone National Level Par 5 Medals Jeete Toh Hai Par Unhe Aaj Bhi Chai Bechni Padd Rahi Hai. Gopal Champion The Swimming Mei 1988 Aur 1989 Mei, But Naa Toh Centre Aur Naa Hi Bihar Government Ne Unki Care Ki. Bahot Struggle Ke Baad Aaj Wo Ek Chai Ki Dukan Chalate Hai Aur Usi Se Apna Parivaar Bhi Chala Rahe Hai.
Unke Jeete Huye 5 Medals Aaj Unki Dukan Par Latakne Ke Kaam Aa Rahe Hai Bass. Ye Medals Government Ke Failures Ko Highlight Karte Hai. Gopal Ke 5 Medals Is Baat Ko Dikhate Hai Ki Athletes Ki Haalat Kya Hai Bihar Mei, Phir Chahe Wo National Level Ke Champion Swimmer Hi Kyu Na Ho. Wo Chahte Hai Ki Unka Beta Country Ke Liye International Swimming Mei Medal Jeet Kar Laaye. Par Resources Ki Kami Ko Lekar Gopal Bahot Chintit Bhi Rahte Hai.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.