West Bengal Ke Swimmer Swadesh Mondal Ne KIYG Mei U-21 Category Mei 100m Breast Stroke Aur 400m Medley Mei Gold Medal Jeeta.
Mondal, Jinhone Last Year Huye Asian Pacific Youth Games Mei Gold Medal Jeeta Tha, Wo Ab 2024 Olympics Mei Participate Karne Ka Aim Kar Rahe Hai.
“Mai 2024 Olympics Ke Liye Aim Kar Raha Hun. Hopefully Mai Apna Best Perform Karunga Trials Mei Aur Indian Swimming Contingent Mei Apni Place Bana Saku,” KIYG Mein 2nd Gold Medal Jeeetne Ke Baad Mondal Ne Kaha.
Jeetne Ke Liye Mondal Ko Apne Competitiors Ko Harana Padega Par Mondal Apne Competitiors Ko Harane Par Focus Karne Ki Jagah Apna Best Dene Mei Focus Karte Hai.
“Jab Mai Pool Mei Race Kar Raha Hota Hut Oh Mai Apne Competitiors Par Dhyaan Dene Ki Bajay Saamne Dikhne Wali Wall Par Focus Karta Hun Aur Use Dekh Kar Apni Speed Aur Badha Leta Hun. Mai Apna Best Try Karta Hun Aur Apni Performance Par Dhyan Deta Hun.”
“Mai Apne Childhood Se Hi Swimming Mei Bahot Interested Tha. To Jab Meri Mother Ne Mujhe Extra-Curricular Activity Ke Liye Kaha Toh Maine Swimming Ke Liye Opt Kiya.Aur Is Tarah Maine Swimming Start Kiya.” Mondal Ne Kaha. – The New Indian Express
Khelo India Youth Games 2020 Ki News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi