Sari Teams Travel Trips Offer Nahi Karti Hai Lekin Agar Apki Team Karti Hai To Isse Apni Team Ke Kids Ko Benefit Milega. Team Travel Ka Matlab Ki Meet Par Jana Ya Aisi Activity Par Jana Jo Team Ne Supervised Kari Ho, Jisme Mom And Dad Sath Na Chale, Team Travel Trips Par Kyu Nahi Jati Hai Iske Kuch Reasons Ho Skate Hai Jaise, Enough Swimmers Team Me Na Hona Ya Responsibility Ke Karan Ya Fir Cost Ke Karan.
Niche Kuch Chize Btayi Gayi Hai Ki Kyu Kids Ko Travel Trips Par Jana Chahiye:
Article Ki Kuch Chize Elizabeth Wickham Ke Article Ko Translate Karke Likhi Gayi Hai.
ONE
Aane Wale Years Ke Liye Preparation
Jab Swimmers Trip Par Jate Hai Jaise Junior National, School Game National To Wo Apni Team Ke Sath Travel Karte Hai, Jaha Wo Khul Kar Apni Team Me Discuss Kar Skte Hai Aur Ek Team Ke Sath Kaise Rhna Hai Usko Samjh Pate Hai.
Two
Independence
Travel Trips Se Kids Confidence, Independence And Sense Of Freedom Jaisi Chizo Ko Smjhne Lagte Hai. Halaki Wo Apne Coaches Ki Nigrani Me Rhte Hai Lekin Coaches Hmesa Unko Apne Samne Nahi Rakhte Aur Hmesa Ye Nahi Btate Ki Kids Ko Kya Khana Hai Aur Kab Sone Jana Hai, Independence Jaruri Hai Taki Wo Khud Ko Mature Bna Sake.
Three
Learning Experience
Meet Travel Par Kids Ko Kafi Chize Sikhne Ko Milti Hai Jaise Agar Wo Koi Event Miss Karte Hai Kyuki Waha Unko Remind Karane Wala Nahi Hota Hai To Wo Usse Sikhte Hai. Sayad Wo Theek Tarah Se Water Na Le Paye Ya Right Foods Na Select Kar Paye, Lekin Isse Unko Ek Learning Experience Milega.
Four
Team Bonding
Travel Trips Se Teammates Ke Beech Kafi Achi Bonding Banne Lagti Hai, Kyuki Aage Chal Kar Kids Ko Unhi Teammates Ke Sath Chize Sikhni Hai Isliye Ye Jaruri Hai Ki Kids Ki Team Bonding Acchi Hai.
Apko Kya Lagta Hai Ki Kyu Travel Trips Kids Ke Liye Ek Accha Option Hai?
Comment Krke Jarur Btaye.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi