Frontal Drag Swimmers Ke Liye Sabse Bdi Problem Hoti Hai Or Isko Kam Karne Ke Liye Swimmers Tarah Tarah Ke Swimming Workout, Techniques Try Krte Rhte Hai, Kyuki Water Air Se 800 Times Jyada Dense Hota Hai Isliye Jahir Hai Ki Water Me Resistance Bhi Air Ke Mukable Jyada Hi Hoga, Or Isi Resistance Ke Karan Swimmers Ki Speed Slow Hoti Hai, Isliye Swimmers Ko Frontal Drag Ko Kam Krne Ki Sahi Technique Pta Hona Bohot Important Hota Hai.
Total 3 Type Ke Frontal Drag Hote Hai: Friction, Pressure(From) Drag Or Surface(Wave) Drag. Or Research Se Ye Pta Chla Hai Ki Inn Teeno Ka Major Role Hota Hai Swimmers Ki Speed Par Or Isi Ke Karan Swimmers Slow Swimming Karte Hai.
Frontal Drag Chahe Wo Water Me Ho Ya Air Me Wo Totally Object Ke Shape Par Depend Hota Hai. Isiliye Swimming Me Hmesa Streamline Ki Baat Hoti Hai Kyuki Streamline Hi Swimmers Ko Frontal Drag Kam Krne Me Help Karta Hai.
To Chaliye Dekhte Hai Kuch Behtareen Tarike Jo Swimmers Ko Frontal Drag Kam Krne Me Help Krenge:
- Body Ko Aligned Rkhna
Curve Body Straight Body Se Jyada Frontal Drag Create Karta Or Isi Straight Body Ko Ham Streamline Position Ke Name Se Bhi Jante Hai. Lekin Jab Ham Dolphin Karte Hai To Hme Curve Ki Help Se Hi Speed Generate Karni Pdti Hai Kyuki Hme Waha Jyada Se Jyada Propulsion Generate Karna Pdta Hai Or Dolphin Krte Wakt Body Bhi Continuous Honi Chahiye. Or Jaisa Ki Maine Phle Bhi Btaya Hai Ki Jiska Core Jitna Jyada Strong Hoga Uski Dolphin Utni Hi Powerful Hogi.
2.Head Down Krna
Upar Maine 3 Type Ke Frontal Drag Ko Btaya Hai Or Head Dpwn Krne Se Ham Surface Par Water Ki Waves Ke Drag Ko Kam Kar Skte Hai, Isiliye Jab Bhi Sprints Hoti Hai To Swimmers Ko Bola Jata Hai Ki Wo Kosis Kre Ki Single Breath Me Hi Wo 50m Complete Kare. Or Jab Bhi Aap 50 Se Jyada Ki Swimming Kare To Freestyle Me Breath Lete Wakt Kosis Kre Ki 1 Goggle Pani Ke Neeche Hi Rhe.
- Racing Suits
Apko Pta Hoga Ki 2008 Or 2009 Me Sabse Jyada Record Bnaye Gye The Kyuki Tab Racing Suits Swimming Me Lae Gye The Or Aaj Har Competition Me Racing Suits Wale Swimmers Hi Best Performance Dete Hai, Actually Racing Suits Body Ko Tight Kar Dete Hai Jisse Drag Kam Ho Jata Hai Or Speed Increase Ho Jati Hai.
- Full Body Ko Shave Karne Se
Full Bosy Shave Karne Se Water Body Se Ashani Se Hat Jata Hai Isliye Swimming Karte Wakt Ek Extra Push Body Ko Milta Hai.
2-3 Points Abhi Or Hai Jisko Mai Iss Article Ke Second Part Me Cover Krunga. Tabtak Ke Liye Diye Gye Points Par Work Kariye Or Aane Wale Nationals Me Accha Perform Kariye. Jai Hind
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega