Indian Police Service (IPS) Officer Krishna Prakash Ne Tides Ke Against Swim Krne Ka Title Apne Naam Kiya Hai. ‘Drowning Prevention Awareness’ Ke Campaign Ke Under In Officer Ne Gateway Of India Se Elephanta Caves, Mumbai Tak Swim Kiya. Unhone 16.20km Ke Expedition Ko Sirf 5 Hours 26 Minutes Mein Complete Kar Ke History Create Kar Di Apni Is Achievement Ki Wajah Se.
Inke Naam Ke Aage Kai Saare Accolades Hai, Unhone “Daunting Task” Ka Video Post Kiya Hai Aur Apne Is “Phenomenal” Success Ki News Twitter Par Share Ki.
Ye Video Show Karta Hai Ki IPS Krishna Prakash Apne Expedition Ko 26th March Ko Gateway Of India Se Subah 7:45 Ko Start Kiya Tha Aur Ye Clip End Hoti Hai Trophy Ke Sath Pose Krte Huye Aur Neck Mei Garland Ke Sath.” Usme Caption Likha Hua Rahta Hai, “Aaj Maine Gateway Of India Se Elephanta Caves Tak Swim Karne Ka Daunting Task Complete Kar Liya Hai Aur Aisa Krne Wala World Mein Pahla Insaan Bann Gya Hun.” Unhone Bataya Ki Is Distance Ko Unhone 5 Hours 26 Minutes Mein Complete Kar Liya. Total Distance 16.20 Km Ka Tha. Unhone Kaha Ki Ye Expedition Drowning Prevention Awareness Ke Liye Tha. Meri Adventure Swimming Young Indians Ko Inspire Karegi Apna Best Performance Den Eke Liye Aur 10k Open Water Swimming Mein Olympic Medal Jeetne Ke Liye.
IPS Officer Ki Is Achievement Ke Liye Social Media Ho Ya Real Life Ho, Har Jagah Unhe Bhar Bhar Ke Badhai Mil Rahi Hai. Log Inki Is Performance Se Kaafi Khush Hai. Chahe Aam Janta Ho Ya Koi Business Man Ya Phir Koi Celebrity Hi Kyu Na Ho Sab Log Inki Tareef Kar Rahe Hai Aur Kaafi Khush Hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi