Swimming Training Me Body Ko Ek Proper Nutrition Ki Jrurat Hoti Hai Jo Ki Behad Jaruri Hoti Hai. Gar Aap Apni Swimming Training Puri Kre Lekin Proper Nutrition Me Piche Rah Jaye To Aap Apni Swimming Ki Peak Performance Sayad Kabhi Na De Paye. Kyuki Jitna Important Swimming Training Hai Utna Hi Ek Proper Nutrition Lena Bhi. Kabhi Kabhi Hamko Training Ke Time Lagta Hai Ki Body Ache Se Work Nahi Kar Rhi Aisa Isliye Hota Hai Kyuki Body Me Proper Nutrition Nahi Mila Hua Hota Hai, Jabtak Apki Body Ke Pass Proper Nutrition Nahi Honge Tabtak Aapki Body Swimming Training Me Puri Tarah Se Apna Workout Nahi Kar Payengi.
Swimming, Swimmers Ke Liye Ek Aur Challenge Deta Hai Ki Lagatar Kuch Time Ke Liye Agar Ek Swimmer Kayi Events Karta Hai To Swimmer Ke Body Ka Glucose Level Bhi Down Hone Lagta Hai Isliye Glucose Level Ko Maintain Krna Bhi Ek Challenge Hota Hai.
Is Sab Challenges Par Jeet Pane Ke Liye Swimmers Ko Na Sirf Apne Swimming Training Ka Gamplay Tyar Karna Hoga Balki Nutrition Ke Liye Bhi Gameplay Tyar Karna Hoga. Swimmer Ko Apne Nutrition Par Jisme Hydration, Fueling, And Recovery Jaisi Chizo Ko Priority Deni Hogi Taki Wo Apni Peak Performance Dene Ke Liye Tyar Ho Jaye.
Baat Kare Hydration Ki To Koi Bhi Swimmer Ho Uske Liye Sabse Bada Challenge Khud Ko Hydrate Krke Rkhne Ka Hota Hai Tabhi Swimmers Ke Liye Sabse Kimati Chiz Unki Water Bottle Hoti Hai Jo Wo Hmesa Apne Sath Rakhte Hai And Time To Time Khud Ko Hydrate Karte Rahte Hai. Swimmers Ke Liye Dehydration Kafi Normal Chiz Hai Kyuki Ek High Intensity Training Ke Baad, High Humidity Ke Karan Swimmer Ki Body Se Fluid Loss Ho Jata Hai. Lekin Bahut Se Swimmers Tab Hi Pani Peete Hai Jab Unko Pyas Lagti Hai Lekin Reality Me Tabtak Body Se Fluid Loss Ho Chuka Hota Hai, Isliye Swimmers Ko Bola Jata Hai Ki Time To Time Unko Pani Peete Rahna Chahiye.
Baat Kare Recovery Ki To Ye Baat Bilkul Galat Hai Ki Sirf Training Ke Baad Rest Karne Se Body Ki Recovery Kari Ja Sakti Hai. Training Ke Time Jo Muscles Damage Hoti Hai Unki Recovery Sirf Rest Karne Se Nahi Hoti Balki Proper Nutrition, Protein Ke Sath Unn Damage Muscles Ki Recovery Kari Ja Sakti Hai. Jitni Jayada Intense Training Hoti Hai Utni Jyada Muscles Damage Bhi Hoti Hai Jisko Najarandaz Nahi Kiya Ja Sakta.
Bahut Se Swimmers Morning Me Uth Kar Sidhe Training Par Chle Jate Hai Jisse Unke Body Me Glycogen Ka Level Kafi Low Rahta Hai Lekin Niche Kuch Standard Meals Btaye Ja Rhe Hai Jisse Swimmers Apni Body Ki Nutrition Ki Need Ko Pura Kar Sakta Hai-
-Morning Me Toast, Fruit Juice, Banana, Low Fat Yogurt Ye High-Carbs Bars Le Sakte Hai.
Recovery Ke Liye-
Recovery Me Protein And Carbohydrate Lene Se Muscles Kafi Tezi Se Recover Hote Hai, Jitni Jaldi Swimmers Inko Lega Utni Jaldi Uski Recovery Start Ho Jayegi.
Snacks
-Peanut Butter, Fresh Fruits, Low-Fat Cheese, Protein Bars, High-Carbs Bars Le Sakte Hai.
Meal
Eggs, Milk, Meat, Fish, Nuts, Fruits, Vegetables, Beans Le Sakte Hai.
Race Day Ke Din High Carbs Meal Lena Accha Hota Hai And Ye Carbs Event Ke 2hr Phle Lena Chahiye. And Aise Carbs Lene Chahiye Jo Jaldi Digest Ho.