You are working on Staging2

Indian Medical Students Russia Ki Nadi Me Doobe, Bodies Ko India Bheja Gaya

Local law enforcement officials ne Friday ko bataya ki northwestern Russia me ak nadi me swimming karte huye 4 Indian medical students doob gaye.

Russia ki Investigative Committee ki regional branch ne bataya ki yah ghatna Tuesday ko Veliky Novgorod shahar me Volkhov nadi me hui.

Law enforcement body ne kaha, “students aise area me swimming kar rahe the Jahan swimming ban hai”. “Unme se 2 paani ki dhara me bahe gaye aur 2 anya unhe bachane ke liye kood gaye. Thode time baad, chaaro paani me doob gaye.”

Paas hi ke Saint Petersburg me Indian consulate ne kaha, “ek 5th student ko bacha liya gaya, aur kaha ki we Veliky Novgorod me University me medical ki padhai kar rahe the. Inhone kaha ki students ki families se contact Kiya gaya hai aur unki bodies ko “ jitni jaldi ho sake” wapas laane ke prayas kiye ja rahe hain.

Russian Investigators ne Friday ko kaha ki ab Tak 2 bodies recover kiye gaye hain.

Russia ke sabse purane cities me se ak Veliky Novgorod, Saint Petersburg se 150 km. South me hai. Volkhov nadi northwestern Russia me vast lake Ladoga ke raaste me shahar se hokar bahti hai.

 

Ek din baad ye pata chalne ke baad ki Russia mein ek nadi mein doobne se chaar MBBS students ki jaan chali gayi, Bharat ke adhikariyon ne Saturday ko jaankari di ki mare hue logon ke sharir mil gaye hain aur unhe Bharat bheja ja raha hai. Chaar Bharatiya medical students St. Petersburg, Russia ke paas ek nadi mein doob gaye. Russia mein Bharatiya mission sthaniya prashasan ke saath mil kar unke shariron ko jaldi se jaldi unke parivaron tak pahunchane mein laga hua hai.

Victims ki pehchaan do ladke aur do ladkiyon ke roop mein hui hai, jo 18 se 20 saal ke the, aur Veliky Novgorod mein Novgorod State University mein students the. Jalgaon ke zila collector, Ayush Prasad ne Thursday ko kaha, “Ek bahut dukhad ghatna samne aayi hai jisme paanch students ek nadi mein doob gaye hain St. Petersburg ke paas, Russia mein, jisme se ek student ki jaan bach gayi hai Russia ke adhikariyon dwara aur chaar students ki maut ho gayi hai. Ek sharir mil gaya hai aur teen anya shariron ke liye talaash abhi bhi jaari hai. Hum, videsh mantralay ki madad se, Russia mein embassy aur St. Petersburg ke consular general se sampark mein hain.

Unhone parivaron ko poori madad dene ka vada kiya hai aur hum judicial, police aur disaster management adhikariyon ke saath samanjasya bana rahe hain. Us student ko behtareen medical seva di ja rahi hai jinki jaan bach gayi hai… Hum ummeed kar rahe hain ki shariron ko international protocol ke mutabik Bharat bheja jayega.” Sthaniya media reports ne kaha ki ek mahila Bharatiya student, jo Volkhov nadi ke kinare se nikal kar paani mein gayi thi, mushkil mein pad gayi aur uske chaar saathiyon ne use bachane ki koshish ki. Is par pratikriya dete hue St. Petersburg mein Bharatiya Consulate ne kaha, “St. Petersburg, Russia mein Bharatiya Consulate General Veliky Novgorod ke sthaniya prashasan ke saath mil kar mortal remains ko relatives tak jaldi bhejne ka kaam kar raha hai.

Shok-santapt parivaron se sampark kar liya gaya hai aur unhe sabhi sambhav madad ka vada kiya gaya hai..” Bachaye gaye ladki student ko theek medical aur psychological treatment di ja rahi hai. Yeh students Veliky Novgorod State University mein medical education kar rahe the. Shok-santapt parivaron ke prati hamari gehri samvednaayein, consulate ne joda.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »