You are working on Staging2

India Ke Best Backstroker Banne Ke Liye Itna Struggle Kiya

Braden Keith
by Braden Keith 0

August 31st, 2019 Hindi

Sportstar Par Behad Hi Khas Article Publish Hua Jo Ki Indian Best Backstroker Srihari Nataraj Ke Upar Tha. 3 Mahine Pahle, Swimmer Srihari Nataraj Ke Pita Nataraj Venkataraman Apne Bête Ko South Korea Mein Seniour World Championship Mei Bhejne Ke Liye Utsuk Nahi The.

“Jab Unke Pitaji Ne Suna Ki Hume World Championship Ke Liye Itna Kharcha Karna Padega To Unhone Kaha, Aapko Kahi Jaane Ki Jarurat Nahi Hai. Agar Aapko Paise Kharch Karne Wali Duniya Mei Hi Jaana Hai To Aapki In Achievements Ki Kya Value Rah Gai?” Friday Ko Bhopal Mein Sportstar Ke Saath Baatchit Karte Huye, Kalyani – Srihari Ki Maa Se Pata Chala.

Woh Toh In Young Swimmer Ke Chacha The, Jo Former International Swimmer Sivaranjani Ke Pita Hai, Jinhone Srihari Ke Pita Ko Apne Bête Ki Journey Ke Liye Fund Den Eke Liye Unka Mind Change Kiya.

“Humne Pichle 1 Mahine Ke Andar Srihari Ki 2 World Championship Ke Liye Lagbhag 8 Lakh Kharch Kiye Hai, July Mein Gwanju Ki World Seniour Aur Budapest Mei Juniour, Jo Kuch Din Pahle Hi Smapt Hua. Tamilnadu Ke Former Junior Volleyball Player Jo Pudukottai Ke Niwasi Hai, Humne Apne Swimming Ke Liye Har Mahine  70,000-80,000 Kharch Kiye Hai Aur Pichle Kuch Varsho Mei Apne Khel Ke Liye Lahbhag 30 Lakh Kharch Kiye Hai.
“Unhe 50,000 Ka Sarkari Samarthan Mila, Aurv Unke Anya Sabhi Kharche Pichle Saal Asiai Khelo Tak  8 Mahine Ke Liye TOP (Target Olympic Podium) Yojana Ke Tahat Cover Kiye Gaye The, Lekin Is Saal Hume 8 Mahine Ke Liye Sirf 10,000 Mil Rahe Hai Khelo India Scheme Ke Antargat. Unke Pita Abhi Retire Huye Hai Aur Lambe Samay Tak Itni Badi Rashi Kharch Karna Aasan Nahi Hoga.” Khair, Yah Desh Ke Best Swimmer Banana Ki Cost Hai.

Aur Yah Ladka Is Tarah India Ka Best Swimmer Bann Saka. Abhi Pichle Week, Bengaluru Ke 18 Varshiya Ne World Junior Ke Sabhi Teen Backstroke Competitions Mein Senior National Record Ko Todd Diya, Jo Ki 50m Mein 25.50 Mei 6th Aur 100m Mei 54.69 Ke National Record Ke Saath 7th Position Par Rahe. Ek Mahine Pahle, Unhone World Senior Mein 2 National Record Tode The.

Pichle Saal Jakarta Asian Games Mei 3 National Records The, Jo 2 Mein 6th Aur 7th Position Par The, Aur Kuch Mahine Se Pahle Rashtramandal Khelo Mei 2 Rashtriya Ank Bhi The.

Srihari, Jo Ab Saturday Se Start Hone Wali National Senior Aquatic Competition Ke Liye Bhopal Mei Hai, Inhone Lagbhag Sabhi Bade Events Mei National Record Todne Ki Aadat Bana Li Hai.

Unka Target Ab 100m Aur 200m Backstroke Me Agle Saal Ke Tokyo Olympic Ke Liye ‘A’ Standard Qualification Lana Hai, Aur Wah Chhoti Ghatna Mei Iske Bahut Kareeb Hai.( Yogyata 53.85 Hai ).

“Mai Yaha 100m Par Pura Dhyaan Kendrit Kar Raha Hun Kyunki Mai Olympic ‘A’ Cut Se Sir 0.8 Meter Dur Hun. Maine Yaha Apna Pahla Senior National Jeeta Aur Yah Mere Liye Ek Tarah Ka Lucky Pool Tha, Isliye Mai Ab Apne Hare K Event Mei Apni Taraf Se Apna Best Dene Ki Koshis Kar Raha Hun,” Srihari Ne Kaha, Jo Bhopal Mei Lagbhag 10 Events Mei Participate Karenge, Jisme Relay Bhi Shaamil Hai.

News, Tips and Workout Ke Liye Aap SwimSwam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi SwimSwam Hindi Ko Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »