Hungarian Olympic bronze medalist Bagalarka kapas ne apne facebook page par announce kiya ki wo novel coronavirus ke test me positive paai gai hai.
Unhe 2 negative tests ki jarurat thi apni training ko continue karne ke liye. First test negative aaya tha par unka 2nd test positive aaya.
“Mai currently two weeks ke liye apne home mei quarantine mei hu, mai apna apartment bhi nahi leave kar sakti. Abhi toh mai koi bhi symptoms nahi feel kar rahi hun,” 26-year old swimmer ne Tuesday ko inform kya, inhone is outbreak ke against protective measures ki importance ko bataya aur saath hi saath ghar mei hi rahne ke significance ke bare mei bhi bataya.
Baad mei, unhone public television channel M1 ko bataya ki jab unhe result ke bare mei pata chala to unki aankhon se aasu aa gaye the aur wo rone lagi.
Boglarka Kapas ne 2016 Rio Olympics mei women’s 800m freestyle event mei Bronze medal jeeta tha aur last summer unhone 200m butterfly mei jeet hasil ki thi World Championship mei jo ki South Korea ke Gwangju city mei hui thi.
Official figures ke according, confirmed coronavirus ke cases Hungary mei 492 ho chuke the Tuesday tak jinme se 37 cases recover ho gaye the aur 16 cases fatalities ke the.
Meanwhile, Cruzeiro president Jose Dalai Rocha ne kaha ki COVID-19 ki wajah se struck hone wale third club official hai jo ki ab bahot acche se recover kar rahe hai.
CEO Sandra Gonzalez aur board member Alexandre Faria already positive test paye ja chuke hai.