Kya Apko Aisa Kabhi Laga Hai Ki Aap Practice Me To Pura Workout Mehnat Se Karte Hai Firbhi Improvement Me Kuch Dikhta Nahi Hai?
Actually Aisa Bahut Swimmers Ke Sath Hua Hai, Jyadatar Ye Tab Hota Hai Jab Swimmers Kuch Din Hard Practice Karne Ke Baad Ye Sochne Lagta Hai Ki Aab Uski Speed Phle Se Kafi Improve Ho Gyi Hogi Lekin Jab Wo Time Deta Hai To Usko Koi Khas Improvement Ya Koi Bhi Improvement Nahi Dikhta Hai. Ye Ekdam Se Unrealistic Hai Ki Aap Kisi Aisi Chiz Ka Khwab Kar Lete Hai Jo Bahut Se Logo Ko Kafi Mehnat Krne Ke Baad Hasil Hoti Hai.
Swimming Me Ek Sec Ko Bhi Break Krne Ke Liye Bade Bade Swimmers Ghanto Pani Me Mehnat Krte Hai Fir Bhi Pura Ek Sec Break Nahi Hota, Or Agar Aap Ye Soch Rhe Ki Kuch Session Hard Workout Karne Se Aap Apne Time Ko Break Krte Chale Jayenge To Ye Bilkul Se Unrealistic Chiz Hai.
Aap Ko Agar Sach Me Time Ko Break Krna Hai To Aapko Apne Workout Ko Ek Routine Me Karna Hoga Or Mehnat Bhi Krni Hogi, Time Ko Break Karne Ke Liye Sirf Workout Par Hi Depend Na Rhe Balki Apne Stroke Ke Khamiyo Ko Bhi Dekhe Tab Jake Dhire Dhire Aapko Improvement Dikhna Start Hoga.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule :- SwimSwamhindi
Join Us:-
Facebook► SwimSwam Hindi