22nd National Para Swimming Championship Gueahati Ke Zakir Hussain Aquatic Complex Mei November 11 Se Start Hone Wali Hai. Two-Day Meet Ko Paralympic Association Of Assam, Udyachal & Sneha Bhandan Ke Saath Organized Karne Wala Hai.
Media Gathering Ko Address Karte Huye Paralympic Association Of Assam Ke Chief Patron Riniki Bhuyan Sarma Ne Kaha Ki City Mei First Time Hone Jaa Rhi Championship Mei 29 States Se 550 Participants Participate Karenge. Unhe Aasha Hai Ki Is Competition Ki Wajah Se State Ke Differently Abled Children Ke Beech Sports Activities Ko Promote Karne Mei Help Ho Sakegi.
Is Media Briefing Ko Organizing Committee Ke Convenor Aur BCCI Ke Joint Secretary Devajit Saikia Aur Paralympic Association Of Assam Ke Secretary Rajib Dey Ne Bhi Attend Kiya. Competition Ki Details Share Krte Huye Dey Ne Kaha Ki, Meet Sub Junior, Junior Aur Senior Categories Mei Hogi Aur 210 Medals Rahenge. Paralympic Committee Of India Ki President Deepa Malik Bhi Is Meet Ke Dauran Guwahati Visit Karengi Aur Inaugural Ceremony Bhi Attend Karengi.
Saikia, Jinhe BCCI Ke Joint Secretary Chune Jaane Ki Wajah Se Function Mei Felicitate Kiya Gaya Tha Unhone Kaha Ki,Guwahati Mei Hone Wali Championship Mei Performance Ko Dekhte Huye Aane Wale Asian Para Games Aur Other International Para Swimming Championships Ke Liye Indian Para Swimming Team Select Ki Jayegi.
Assam Team Ke Regarding Dey Ne Kaha Ki Is Meet Mei State Se 13 Swimmers Participate Karenge Aur Is List Mei Anowar Sikdar Ka Naam Bhi Hai Jo Ki Asian Para Games Ke Liye Already Qualified Ho Chuke Hai Aur Currently Abroad Mei Training Bhi Kar Rahe Hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi