Apne Swimming Competition Me Unn Swimmers Ko Jarur Notice Kiya Hoga Jo Effortless Swimming Ke Sath Apni Speed Ko Bhi Maintain Kiye Rhte Hai? Aisa Har Koi Swimmer Ban Skta Hai, Lekin Uske Liye Practice Ke Sath Shi Science Or Uska Use Aana Bahut Jaruri Hai.
Agar Aap Kisi Bhi Swimmer Ko Swimming Karte Hue Dekhte Hai To Aap Uske Head Ko Or Legs Ke Movement Ko Hi Thik Se Dekh Pate Hai Or Sayad 1/10th Seconds Ke Liye Uske Hand Ko Bhi, But Usse Aap Swimmer Ke Stroke Ko Nahi Judge Kar Skte, Swimmers Ki Speed Unke Pulls Par Depend Karti Hai, Short Pull Sprints Ke Liye Or Long Pull Distance Swimming Ke Liye. Kuch Swimmers Direct Ya Sidha Pull Karte Hai Or Kuch Swimmers S Shape Bnate Hue Pull Karte Hai. Pulls Ke Alawa Bhi Kafi Sare Factors Hote Hai Jispr Agar Swimmers Ne Acchi Command Bna Li To Sayad Use Effortless Swimming Apne Aap Aa Jayegi.
Scientific Reason :-
Human Muscles Bahut Hi Kam Time Me Recover Ho Skti Hai Agar Ham Kosis Kre To Pull Ke Baad Hath Ke Recovery Phase Me Jo 1/10th Sec Ka Time Milta Hai Usme Bhi Agle Pull Ko Behtar Karne Ke Liye Recovery Ho Skti Hai.
Muscles Me Jab Recovery Ke Time Cell Membranes Se Ions Exchange Hote Hai(Sodium And Potassium) To Hme In 2 Baato Ko Dimag Me Rkhna Hota Hai:-
- Jab Muscles Tight/Tense Hoti Hai To Ye Ions Easily Transfer Nahi Ho Pate Or Muscles Puri Tras Se Recover Nahi Kar Pati.
- Lekin Jab Muscles Relax Rhti Hai To Ion Ka Transfer Bdi Ashani Se Ho Jata Hai Jisse Pull Ke Baad Recovery Phase Me Bhi Muscles Recover Ho Jati Hai Or Next Pull Bhi Strong Hota Hai.
Aap Ye Chiz Apne Next Session Me Try Bhi Kar Skte Hai Aur 100% Surety Hai Ki Apko Positive Result Dikhega….
“Swim With Soft Hands On The Recovery”. “Softer, Relaxed Hands Make For Faster Swimmers”
इनको भी जरुर पढ़े:-
Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega