Is Time Country Me Swimmers Ki Halat Practice Ke Mamle Me Khud Achi Najar Nahi Aati Dikh Rahi Hai Yaha Tak Ki Sports Authority Of India Ke Ambitious Project – The Target Olympic Podium Scheme (TOPS) Bhi Dubai Ke Indian High School Ke Talented Young Swimmer Tanish George Mathew Ki Swimming Ki Practice Karane Mei Utna Help Nhi Kar Paaye Hai.
Last Month Ki Hi Baat Hai Jab Ye 16-Year-Old Swimmer Ko Government Of India Ne TOPS Ke Liye Select Kiya Tha. TOPS Ek Aisi Scheme Hai Jo Ki Launch Ki Gai Hai Talented Young Athletes Ko Identify Kar Ke Unhe Top-Notch Training Facilities Provide Kara Kar 2024 Aur 2028 Olympics Mei Medal Jeetne Ke Liye Taiyar Karti Hai.
Tanish, Jo Ki Apne Parents Ke Saath 2014 Mei Dubai Chale Gaye The Unhone Abhi Tak Hope Nhi Chhodi Hai Aur Wo India Ko Next Year Hone Wale Tokyo Olympic Mei Represent Karenge.
“Mera Current Goal Hai Ki Tokyo Olympic Ke Liye Mujhe Apna Time Improve Karna Hai. Next June Tak Ka Time Hai Abhi Olympics Mei Qualify Karne Ke Liye,” Tanish, Jo Ki 200m Butterfly Ke Specialist Hai Unhone Khaleej Times Se Kaha.
“Meri Best Timing 2:02.71 Hai Butterfly Me And Qualifying Time 1:59.97 Hai. Mere Coach Ko Lagta Hai Ki Mai Kar Sakta Hun. Ye Koi Bahot Bada Margin Bhi Nahi Hai.”
Tanish Ne Uske Baad Ye Bhi Reveal Kiya Ki Unhe Abhi Kin Areas Par Work Karne Ki Jarurat Hai In Events Mei Qualify Hone Ke Liye.
“Mujhe Apni Speed Aur Endurance Improve Karna Padega Kyu 200m Butterfly Sabse Hard Races Mei Se Ek Hai. Ye Aapki Saari Energy Consume Kar Leta Hai Kyu Ki Butterfly Hardest Stroke Hai, Isliye Aapko Kaafi Endurance Aur Strength Ki Jarurat Padti Hai,” Jo Bade Huye Hai Michael Phelps Aur South Africa Ke Star Chal Le Clos Ko Dekh Kar Jinhone American Icon Ko 2012 London Olypics Mei Gold Jeet Kar 200m Butterfly Mei Beat Kiya Tha.
“Dubai Ki Facilities India Se Kaafi Badhiya Hai. India Mei Bahot Se Log Swimming Karna Chahte Hai, But Aapko Pata Hai, Sirf Selected Number Of People Hi Rah Paate Hai Ek Time Mei. But Yaha Par, Hamare Paas Olympic Size Pools Hai, Top-Class Gyms Aur Cardio Facilities Hai. Yaha Par Sab Kuch Top-Class Hai,” Tanish Ne Kaha.
“Isliye Yaha Par Mujhe Kaafi Advantage Mila. Jab Mere Coach Pradeep Kumar Ne Ye Club Start Kiya Tha Yaha Par, Jaha Par Ye Ume Train Karte The. Yaha Par High Class Facilities Hone Ki Wajah Se Meri Training Bhi Kaafi Acchi Hoti Thi.”
“Tanish Ki Age Bhi Badhiya Hai Abhi. Wo 2024 Games Mei Most Promising Indian Swimmer Honge, Isme Koi Doubt Nahi Hai.”
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.