You are working on Staging2

Confidence Level Boost Karne Ka Best Method – Part 2

Hello Guys Swimming Ki Best Website Swimswam Par Apka Swagat Hai Hum Log Apke Liye Daily New Articles Late Hai Jisse Apki Swimming Aur Achhi Ho Aur Kuch Swimming Related News To Aj Ka Humara Topic Hai Ki Koi Bhi Struggler Apna Self Confidence Na Khoy Phir Cahe Wo Ek Swimming Struggler Ho Ya Kisi Aur Field Ka Struggler Ho Is Article Ko Pura Padhiyega Dosto Tabhi Apko Is Article Ki Gahrayi Smajh Me Ayegi. Ye Article Pranjal Pal Dwara Likha Gya Hai. To Chaliye Shuru Karte Hai.

1. Apne Ap Ko Btaiye Ki Ap Jo Kam Kr Rhe Hai Use Puri Tereh Confident Hai

Agar Ap Apni Soch Ko Hakikat Bnana Cahte Hai To Apko Confident Aur Overconfident Ke Ceech Ka Frk Janna Pdega. Confident Person Ke Roop Me Sochiye Jaise Ki Ap Kisi Bade Stage Jaise National Games, Saf Games Ya Koi Bhi International Competition Me Khade Hokar Hazaro Logo Ke Samne Competition Me Participate Kr Rhe Hai Ya Phir Kyi Logo Ke Samne Ap Ek Swimming Se Related Koi Presentation De Rhe Hai Aur Sabhi Log Apse Kafi Khush Hai Apki He Har Taraf Baat Ho Rhi Hai Log Taliyan Bja Rhe Hai Apke Liye. Albert Einstein Ne Bhi Imagination Ko Knowledge Se Adhik Powerful Bataya Hai. Aur Ap Is Power Ka Use Krke Bade Se Bada Kaam Kr Sekte Hai. Lekin Isi Confidence Ko Agar Excess Me Sochne Lga Jaye To Yahi Chiz Overconfidence Ho Jati Hai. Isliye Confident Baniye Naki Overconfident.

2. Galtiyo Se Mat Dariye

Kya Ap Aise Kisi Aadmi Ko Jante Ho Jisne Kabhi Galti Na Ki Ho? Nhi Jante Honge  Kyuki Galtiya Kerna Insaan Ka Svebhav Hai Galti Kerna Galat Nhi Hai Use Dohrana Galat Hai Jb Tk Ap Ek He Galti Baar Baar Nhi Dohrate Tb Tk Darsal Ap Galti Kerte He Nhi Ap To Practice Kerte Hai Aur Isse Hone Wale Experience Se Kuch Na Kuch Sikhte Hai.  

Kehne Ka Matlb Ye Hai Ki Apki Kabhi Bhi Kisi Kaam Ko Krne Ke Liye Ghabraiye Nhi Balki Confident Ho Kr Us Kaam Ko Keriye Phir Cahe Vo Kisi Se Question Puchna Ho Logo Ke Samne Apko Apni Baat Rakhni Ho  Zra Si Himaat Apke Confidence Ko Kyi Guna Badha Deti Hai Sachmuch Dr Ke Aage Jeet Hai. Swimming Jaise Sport Me Galtiya Hoti Hi Hai Example Ke Taur Par Aapko Mai Ian Thorpe Ki Baat Btata Hu, Ek Baar Olympic Trial Me Ian Thorpe Se 100m Freestyle Me False Start Ho Gya Tha Lekin Ian Thorpe Ne Turant Hi Apne Mind Apne Next Event Par Daal Diya Naki Wo 100m Free Ke Liye Nirash Hua. Isliye Jo Galti Ho Use Bas Mind Me Note Kar Lijiye Or Apne Next Target Par Pura Focus Daliye.

Thankyou Dosto Is Article Ko Pura Padhne Ke Liye Agar Apko Ye Article Pasand Aaya Ho To Neeche Comment Kerna Na Bhule Aur Agar Apke Mn Me Koi Question Ho To Vo Bhi Comment Box Me Puch Sekte Hai.

More Workout On Swimswam Hindi:-

 

 

Facebook Par Swimswamhindi Ko Jarur Like Kare.

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Ashutosh singh
7 years ago

I m requesting to u that plz give the examples of great swimmers like Ian thorpe in every articles if possible. This is very inspiring.

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »