You are working on Staging2

CESAR CIELO RECORDS A 49.4 100 FREE IN TIME TRIAL (HINDI)

Braden Keith
by Braden Keith 0

April 03rd, 2017 Hindi

Brazilian Sprinter Cesar Cielo Ne  Pinheiros Meet Jo Ki Brazil Me Shuru Hui Hai Usme 100 Freestyle Ke Time Trial Me 49.46 Ka Time Kiya. 49.46 World K Top 25 Best Time Se Kuch Hi Micro Seconds Se Kam Hai Lekin Final Me Sayad Ye Difference Bhi Kam Ho Jayegi. 2 Week Phle Cielo Se 11 Month Baad Apni Phli Race Kri Or 50 Fly Me 23.75 Ka Time Kiya Or 22.44 50m Free Me. Cesar Cielo Kai 50 Fly Unko World Ke Top Ten 50 Fly K Time Me Le Aayi. Jo Aaj Bhi Top Ten Me Hi Bni Hui Hai.

Cesar Cielo Ne Abhi Jaldi Me Hi Apna Club Change Kar Diya Hai Or Minas Tenis Ko Chod Kar Pinherios Se Link Up Kar Liya Hai Jaha Cesar Cielo Ne 15 Se 22 Saal Ki Age Me Apni Practice Ki Hai. 2016 Brazilian Olympic Team Me Jagh Na Bna Pane Ke Karan Or Apni Life Me Apni Country Ko Home Olympics Me Na Represent Kar Pane Ke Karan, Cesar Cielo Ab Fir Se Umeedo Ke Sath Dubara Apni Performance Ko Improve Krne Ki Kosis Kar Rhe Hai.

Rio Olympics Me Ek Bhi Medal Cesar Cielo Ko Nahi Mila, 400 Free Relay Me Jisme Bhi Wo Bronze Se Pure2 Seconds Piche The Or Jiske Karan 5th Position Brazilian Team Ko Mili.

According To Sportv, Gabriel Souza Bhi Pinheiros Bhi Time Trial Me Race Kr Rhe The Or Unka Time 49.58 Tha Or Auburn Me Ho Rahe Competition Me Bruno Fratus Or Marcelo Chierighini Ne Bhi 49.18 Or 49.32 Ka Time 100 Freestyle Me Kiya Or Ye Dono 400 Free Relay Ka Hissa The Rio 2016 Me.

Cesar Cielo Ke Name Hi 50 Free Or 100 Free Ka World Record Hai, Jisme 20.91 50 Free Me Or 46.91 100 Free Me 2009 Me Magic Tech Suit Ko Ki Madad Se Cesar Cielo Ne Banaya. 2012 Me Cesar Cielo Ka 100 Free Ka Time 47.92 Rha Tha.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »