You are working on Staging2

Apne Aim Ko Focus Karke Practice Karne Se Hoga Profit

Braden Keith
by Braden Keith 0

September 01st, 2017 Hindi

Isse Fark Nahi Pdta Hai Ki Aap Kitne Acche Swimmer Hai Kyuki Swimmers Hote To Human Hai Or Swimmer Hi Nahi Kisi Bhi Sports Ka Player Even Wo Olympian Ho Ya Wo State Level Ka Hi Player Kyu Na Ho, Wo Sare Sportsperson Kahi Nahi Kahi Apna Motivation Ek Time Par Khone Lgte Hai Aur Yahi Wo Time Hota Hai Jab Coaches Or Parents Ko Aage Aake Unki Help Krni Chahiye.

Self Confidence Ke Karan Hi Ham Kisi Bhi Kam Ko Sahi Trike Se Kar Skte Hai, Or Iska Real Example Aapko Apne Aas Pass Hi Mil Jayega, Lekin Aise Bahut Se Reasons Hote Hai Jiske Karan Ham Self Confidence Bhi Khone Lagte Hai Jaise :- Stress Ke Karan, Galat Logo Ke Beech Rah Kar, Negative Thoughts Ke Karan, Or Swimming Me Jo Maine Sabse Jyada Chiz Notice Ki Hai Wo Hai Ki Ek Swimmer Jo Race Me Final Jake Koi Place Nahi Hasil Kar Pata Wo Baki 1,2,3rd Place Wale Swimmer Ko Dekh Kar De-Motivate Ho Jata Hai. Kyuki Usko Uss Time Ye Btane Wala Koi Nahi Hota Ki Usne Kamse Kam Final Me To Apni Jagh Bnayi Hai. Kyuki Waha Kafi Swimmers To Final Me Jane Ke Liye Hi Taras Jate Hai. Mai Khud Ki Baat Kru To Mane Apni Swimming Career Ka Phla Competition Jab Khela Tha Tab Mujhe Pta Bhi Nahi Tha Ki Heats Kya Hoti Hai Or Maine First Time Banaras Me 50m Ka Pool Bhi Dekha Tha, Lekin Maine Free Mind Se Apna Competition Diya And 5 Me Se 4 Final Me Mai Tha But Mai 4th,5th Tak Hi Ja Ska, But Mai Uss Time Itna Khus Tha Ki Jaise Ki Mai Hi Champion Hu, Kyuki Mai Janta Tha Ki Maine Apna Best Diya Hai. Same Chiz Mujhe Lgta Hai Baki Swimmers Ko Bhi Karni Chahiye, Apna Best Time Dijiye, Or Apne Best Time Ko Todne Ke Liye Race Kariye Aaj Nahi To Kal Lekin Aap Ek Din Jab Apne Best Time Ko Todne Lag Jayenge To Medals Aana Aam Baat Ho Jayegi, Even Mai Khta Hu Medals Par Bhi Dhyan Na Dijiye Dhyan Dena Hai To Uss Chiz Par Dijiye Jo Ki Sabse Best Hai Means Olympics Par. Olympics Ko Base Man Kar Preparation Kariye Kyuki Maine Dekha Hai Ki Swimmers Ek Baar Job Pane Ke Baad Apna Aim Bhul Jata Hai Or Fir Wo Usi Job Me Khi Kho Jata Hai. Sayad Isiliye India Ko Abhi Tak Apna First Olympics Champion Nai Mila Hai.

Or Jitne Bhi Senior Swimmers Hai Wo Please Apne Se Chote Swimmers Ko Hmesa Motivate Kriye Kyuki Wo Sab Apko Hi Follow Karte Hai Or Aagar Aap Hi Unko Negativity Me Daloge To India Hmesa Isi Position Me Atka Rhega.

Baki Swimmers Ko Motivate Rhne Ke Liye Kuch Chizo Ka Dhyan Rkhna Chahiye Wo Mai Niche Bta De Rha Hu:-

  1. Un Logo Se Khud Ko Door Rakhe Jo Hmesa Negative Thoughts Man Me Rakhte Hai.
  2. De-Motivate Hone Ki Jagah Apni Kami Ko Note Down Kriye.
  3. Hmesa Positive Environment Me Rhne Ki Kosis Kriye

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »