TOI Par Nikli News Jisme Bataya Gaya Ki Abhi Bhi Swimming Pool Open Hone Ki Probability Thodi Kam Najar Aa Rahi Hai India Me. IT hub hone ke alawa, Bengaluru ko country ka swimming capital bhi maana jaata hai. Ye 2 top coaches ka home bhi hai. Pradeep Kumar aur Nihar Ameen- jinhone hundreds of national aur international swimmers ko train kiya hai. Iske alawa, Country ke 9 Olympic swimmers bhi isi city mei trained kiye gaye hai. But phir bhi, Ministry of Home Affairs ne jab unlock 4.0 ki guidelines release ki to bhi usme swimming pools ko open karne keliye allow nahi kiya gaya.
- Karnataka mei 1,200 registered competitive swimmers hai.
- State mei 50 registered centres bhi hai.
- 25-meter-long pool ko maintain rakhne ka cost aata hai 1,50,000-2,00,000 INR.
- Pool ko refilling ka cost aata hai 1,00,000 INR jisme six lakh litres water bhara jaata hai.
- Bengaluru mei 500 se jyada public-use pools bhi hai.
“Yahi ek aisa sport hai jise function karne ke liye government ko allow karne ki jarurat nahi padti hai. Yaha tak ki gym aur uske saath kai close contact wale sports allow kar diye gaye hai,” Arjuna Awardee aur Former Olympian swimmer Nisha Millet ne kaha, jinhone ye bhi add kiya ki six months ki zero income ke sath ye ek tough ride rahi. “Mai 2 pools run karti hu city mei, aur unhe jaldi hi clean drain aur scrubble kiya gaya, aur past six months se electricity bills maintenance bills pay karna kaafi mushkil raha hai,” unhone kaha.
Nisha ke jaise hi aur bhi kai coaches hai jo struggle kar rahe hai aise hi. Staff ki bhi yahi halat hai.
KYA SWIMMING SAFE HAI PANDEMIC KE TIME MEI?
Iska answer dene ke liye, Shreesh ne kaha, “kahi bhi aisa prove nahi hua hai ki virus water mei spread hota hai. In fact, water mei jo chlorine present hota hai wo virus ko neutralize kar deta hai.” Isme add karte huye Nisha ne kaha, swimming lungs ke liye badhiya hoti hai, aur lungs ko healthy rakhna important hota hai.
KARNATAKA SWIMMING ASSOCIATION KAR RAHA HAI GREEN SIGNAL KA WAIT:
Swimming matters ke ongoing survey ne 20 plus cities se 200 participants ko cover kiya. Participants mei competitive swimmers, recreational swimmers aur swimmers ke parents bhi included the.
- 75% ko believe hai ki swimming pools safe hai.
- 72% swimming karna start kar denge jaise hi pools open honeg.
- 55% marginally high fees bhi pay karenge sanitization aur social distancing measures ki cost ko cover karne ke liye.
Swimmers ki training har jagah start ho chuki hai including Dubai aur Srilanka. Aur abhi tak koi COVID-19 case report nhi hua hai. Hume abhi bhi green signal milna baaki hai.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.