Almost Sabhi Swimmers Ke Paas Unka Sabse Trustworthy Saathi Unka ‘Swim Bag’ Unke Saath Jarur Hota Hai Jaha Kahi Bhi Wo Jaate Hai. Aur Har Swimmers Apne Bags Ke Liye Kaafi Protected Bhi Hota Hai. Toh Aisa Kya Hai Jo Swimmers Ke Swim Bags Ko Unka Itna Kareebi Banata Hai? Aaiye Jaante Hai.
Aaiye Dekhte Hai Ki Swim Bags Mein Swimmer Kya Kya Rakhte Hai.
Bahut Sare Caps Aur Goggles:
Kuch Toote Huye, Kuch Sahi Par Swimmers Ke Bag Mein Hamesha Hi Bahot Saare Caps Aur Goggles Hote Hai Kyun Ki Kab Back-Up Ki Jarurat Padd Jaaye.
Lotion Aur Various Moisturizers:
Post Practice Ke Baad Swimmers Ka Best Friend Yhi Hota Hai.Kyun Ki Sand-Paper Dry Skin Ki Feeling Se Worse Aur Koi Feeling Nhi Hoti Hai. Isliye Iske Baad Lotion Aur Moisturizers Kaafi Help Karte Hai Chlorine Ki Smell Hatane Mein.
Pain Medication:
Jyadatar Swimmers Apne Bag Mein Kuch Na Kuch Medication Jarur Rakhte Hai Various Reasons Ke Liye. Kyun Ki Hypoxic Set Ke Baad Headache Aana Normal Hai.
Nose Plugs:
Sabhi Backstrokers Ke Liye Nose Plugs Serious Life Savers Ho Sakti Hai. Kai Baar Toh Ye Ek Game Ki Tarah Ho Jaata Hai Ki Hum Kitna Jyada Collect Kar Sakte Hai. Kyun Ki Wo Bahot Chhote Hote Hai, Aur Nose Plug Aasani Se Gum Ho Jaata Hai.
Swim Suits:
Most Obvious Items Jo Hamare Swim Bags Mei Paaya Jata Hai Wo Hota Hai Swim Suits. Kuch Swimmers Apne Favourite Suit Ka Double, Triple Own Kar Ke Rakhte Hai. Aur Aapko Nhi Pata Ki Kab Aapka Friend Bhul Jaaye Aur Aapko Extra Suit Ki Jarurat Padd Jaaye.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi