36th National Games 2022 – Swimming
- October 2-October 8, 2022
- Rajkot, Gujarat
- Long Course Meters (50m), Prelims/Semis/Finals
- Live Stream
India Ka Mini-Olympics Kaha Jane Wala Event “National Games” Ka 36th Edition Start Hone Ja Rha Hai Iske Phle 36th National Games 2020 Me Goa Me Hone Wale The Lekin COVID Ke Karan Usko Cancel Kiya Gya.
36th National Games 2022 Me Swimming Ke Events October 2 Se October 8 Tak Rajkot, Gujarat Ke Organize Karye Jyenge.
Swimming Heats 8:30AM And Finals 5:00PM Par Start Honge. Jiska Live Telecast DD Sports TV Channel And Prasar Bharati Sports Youtube Channel Par Dekh Ja Skega.
First National Games Jo Ki Lahor Me 1924 (Tab India Undivided Tha) Ko Hua Tha Usko Indian Olympic Games Se Jana Jata Tha And Yah Name 1938 Tak Bola Gya.
Olympic Me ‘A’ Cut Ke Sath Qualify Krne Wale Swimmers Sajan Prakash And Srihari Nataraj Dono Hi National Games Me Compete Krne Ja Rhe Hai. Sajan Prakash Jo Ki India Ke First Swimmer Hai Jinhone Olympic Me ‘A’ Cut Time Hasil Kiya Hai Wo 36th National Games Me Kerala Ko Represent Krenge Wahi Srihari Nataraj Jo Ki 2nd Indian Swimmer Hai Jinhone Olympic Me ‘A’ Cut Time Hasil Kiya Wo Karnataka Ko Represent Krenge And Yah Srihari Nataraj Ka First National Games Bhi Hoga. Srihari Nataraj 50m, 100m, And 200m Backstroke Events Me Indian National Record Holder Hai.
50m backstroke | Srihari Nataraj | 25.11 | 2021 Uzbekistan Open Championships |
100m backstroke | Srihari Nataraj | 53.77 | 2021 Sette Colli Trophy |
200m backstroke | Srihari Nataraj | 2:00.84 | 2022 Commonwealth Games |
Whi Sajan Prakash 200m Freestyle And 200m Butterfly Event Me Indian National Record Holder Hai
200m Freestyle | Sajan Prakash | 1:49.73 | 2021 Sette Colli Trophy |
200m Butterfly | Sajan Prakash | 1:56.38 | 2021 Sette Colli Trophy |
*and Inn 2 individual Events Ke Alawa Sajan Prakash 3 Relays Ka bhi Hissa Hai jisme Indian National Record Chal Rha Hai.