Norwegian Olympian Tomoe Hvas Ne Sirf 22-Years-Old Mei Hi Competitive Swimming Se Apni Retirement Announce Kar Di Hai. Unke Club Ne Is News Ko Instagram Par Announce Kiya Aur Ye News Padh Ke Sab Ko Shock Hua Kyu Ki Hvas Norway Ke Best Young Prospect The.
Facebook Par Ek Lengthy Post Mei English Mei Likhte Huye Hvas Ne Kaha Ki 2022 Unke Liye ‘Plagued By Sickness Aur Misfortune’ Tha.
“Ultimately Isne Meri Motivation Ko Kai Baar Test Kiya Aur Mujhe Present Aur Future Ke Bare Mei Sochne Par Mazboor Kiya. Pool Se Dur Rhne Ka Jo Time Tha Usse Mujhe Kaafi Space Mila Aur Mai Kya Karna Chahta Hun Aur Kya Banna Chahta Hun Is Par Soch Saka.”
“Apne Pure Swimming Career Ke Dauran Maine Hamesha As A Person Apni Identity Ki Hi Search Ki Halaki Swimming Ke Liye Mera Love Unquestionable Hai.Mai Hamesha Is Bare Mei Sochta Ki Kya Swimming Mere Liye Right Path Hai Ya Nhi.
‘Aur Ab Pool Se Dur Rhne Ke Baad Identity Se Related Questions Aur Mai Kya Banna Chahta Hun Aise Questions Mere Mind Ke Forefront Pr Aane Lage. Aur Extensive Aur Long Reflections Ke Baad Mai Is Conclusion Par Pahocha Hun Ki Mai Discover Karna Chahta Hun Ki Sports Ke Bahar Mai Kya Hun.’
Hvas, Jo Ki Barumsvommerne Club Ke Sath Trained Krte Hai, Inhone Apne Career Ki Shuruwat 2017 Mei Huye European Short Course Championships Mei Medal Jeet Kar Kiya Tha. Jaha Pr Inhone 200 Im Mei Bronze Medal Jeeta Tha Aur Two Years Ke Baad Inhone Use Silver Medal Mei Improve Kr Diya Tha.
Iske Beech Mei, 2018 Mei Unhone 2018 Youth Olympics Ke 200 Im Mei Gol;D Medal Jeeta Tha,50 Fly Mei Silver Medal, Aur Back Mei Bronze Medal. Unhone 2018 Mei Huye European Junior Championships Ke 50 Fly Mei Event Mei Silver Medal Jeeta Tha.
Hvas Ki Last Meet Thi 2021 Mei Hui World Short Course Swimming Championships Jisme Unhone 100 Im Mei Silver Medal Jeeta Tha. Unka 51.35 Ka Timing New Norwegian Record Bann Gaya Tha Aur Ye Bhi Unke 19 Records Mei Shaamil Ho Gya Tha.
Hvas Un For Norwegian Swimmers Mei Se The Jinhone Tokyo 2020 Olympics Games Mei Compete Kiya Tha Aur Akele Hi The Jinhone Preliminary Round Tak Advance Kiya Tha. Unhone Men’s 200 Im Ke Semi-Finals Pr 16th Position Par Finish Kiya Tha.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi