Karnataka Government Ne Coronavirus Ke Spread Ko Rokne Ke Liye Second Lockdown Imposed Kiya Hai, And Sentinelassam Ki Jari Hui News Ke Jariye Ye Pata Chla Ki Iss Lockdown Ki Wajah Se Indian Swimmer Srihari Nataraj Isse Khus Nahi Hai Kyuki Men’s 100 Metres Backstroke Mei Indian National Record Holder Hai Ko 1 Week Ke Liye Pool Mei Training Karne Se Roke Rakha. “Almost Ek Week Se Maine Pool Mei Training Nhi Ki Hai. State Government Ne Swimming Pools Ko Open Karne Ki Permission Nhi Di Thi, Elite Swimmers Ke Liye Bhi Nhi. Olympic Size 50 Metres Pool Mei Training Kiye Bina Competitions Mei Accha Perform Karna Possible Nhi Hai,” Nataraj Ne IANS Se Kaha.
Last Month Nataraj Ne National 100m Backstroke Record 2 Baar Break Kiya Tha Tashkent Mei Hui Uzbekistan Swimming Open Championships Mei. But 54.07 Seconds Ka Unka National Record Olympic A Qualification Time 53.85 Se Thoda Piche Rah Gaya.
Nataraj Un 6 Indian Swimmers Mei Se Hai Jinhone Tokyo Olympic Games Ke Liye Unke Respective Events Mei Olympic B Qualification Marks Achieve Kiya Hai. Rules Ke According, Sirf A Qualification Hi Automatic Berth Ki Guarantee Deta Hai.
“Tokyo Olympics Mei Compete Krne Aur A Qualification Time Achieve Karne Ke Liye 27th June Deadline Hai, Iske Bawjood Bhi Elite Swimmers Ko Practice Karne Ke Liye Struggle Karna Padd Raha Hai. Local Government Ke Support Ke Bina Regular Basis Par Practice Kar Paana Impossible Ho Gaya Hai,” Coach Ne Point Out Kiya. Olympics 23 July Se Start Hona Decided Hai.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.