You are working on Staging2

“Visualization” Technique Har Ek Swimmers Ki Performance Boost Kar Sakti Hai

Braden Keith
by Braden Keith 1

November 06th, 2020 Hindi

Jab Pressure On Hota Hai, Aur Time Ho Jaata Hai Tech Suit Aur Racing Goggles Ko Strap Karke Some Personal Best Times Smash Karne Ka Toh Mental Toughness Bahot Critical Hoti Hai.

Chaos Ke Beech Mei Bhi Mental Toughness Aapko Focused Rahne Mei Help Karti Hai. Apne Intensity Levels Ko Manage Karo, Aur Apne Hi Lane Par Bane Raho Isse Kuch Farq Nahi Panda Chhaiye Ki Aapki Bagal Wali Lane Mei Kya Ho Raha Hai.

Look…

Hum Dono Ko Pata Hai Ki Race Day Ko Hare K Chiz Perfectly Nhi Hogi. Kabhi Aapke Goggles Mei Toh Kabhi Aapke Swimsuit Mei Ya Kabhi Kisi Aur Chiz Mei Problem Aayegi Hi.

Aapka Job Ye Nahi Hai Ki Hare K Chiz Ko Control Karo.

Aapka Kaam Bas Itna Hai Ki Apne Reaction Ko Adversity Ke Liyr Practice Aur Prepare Kariye Jisse Kuch Bhi Ho Jaaye Par Aap Apne Plan Par Stick Rahe.

Ye Ek Highly Practical 3-Step Plan Hai Jise Aap Use Kar Sakte Hai Race Day Ke Din Mentally Tough Banne Ke Liye.

“AAP APNE RASTE MEI AANE WALI HAR EK CHIZ KE LIYE READY RAHTE HAI.”

Mental Energy Ek Powerful Aur Proven Mental Skill Hai Swimmers Ke Liye.

  • Koi Skill Master Karna Chahte Hai? Mental Imagery Ki Help Se Aap Wo Skill Aur New Technique Learn Kar Sakte Hai.
  • Motivate Hona Chahte Hai? Mental Imagery Effective Motivational Tool Hai Psych-Up Talk Se Bhi.

Aisa Koi Bhi Chiz, Jo Aap Water Mei Improve Karna Chahte Hai, Mental Imagery Aapki Help Kar Sakti Hai.

Ye Aapko Un Unexpected Adversity Ke Liye Bhi Prepare Karti Hai Jo Aapko Race Day Ya Practice Ke Samay Aate Hai.

ADVERSITY SE PREPARE HONE KE LIYE MENTAL IMAGERY KA USE KARNA

Is Tool Ko Aapki Swimming Mei Work Karne Ke Liye Kaise Use Kare.

Ek Pen Aur Paper Lo.

Un Chizo Ko Likho Jisse Aap Practice Aur Competition Ke Time Struggle Karte Ho.

For Example,

  • Mujhe Discomfort Mei Swimming Karna Bahot Hard Lagta Hai. Mai Tab Energy Save Karta Hu Jab Mujhe Nhi Karna Chhaiye.
  • Big Races Se Pahle Mai Khud Mei Hi Uljha Rahta Hu.
  • Jitna Fast Mujhe Swim Karna Chaiye Agar Utna Fast Nhi Swim Kar Paata Hut Oh Bounce Back Karne Mei Mujhe Bahot Tough Ho Jaata Hai.

Aapko Idea Mil Gaya.

Water Mei Hone Wale Issues Aur Adversity Ko Likh Lena Itna Bhi Difficult Nahi Hota Hai. Hume Pata Hota Hai Ki Wo Kya Hai.

Next Step Ek Fun Part Ki Tarah Hai.

Ab Aapko Apni Eyes Close Karni Hai, Deeply Breathe Karna Hai, Aur Apni Body Ko Floor Par Sink Hone Dena Hai.

Mental Imagery Ka Use Karte Huye, Un Chizo Ko Practice Kariye Jisse Aapne Past Mei Struggle Kiya Tha Ya Future Mei Kar Sakte Hai.

Feel Kariye. Is Moment Ko Feel Kariye. Situation Ke Baare Mei Hare K Chiz Aapke Visualization Mei Hona Chhaiye. Water Ka Temperature. Air Mei Chlorine. Aur Aapke Belly Mei Hone Wali Nervousness.

Agar Aap Ise Properly Karte Hai Toh, Aapke Hands Clammy Ho Jayenge, Aapka Heart Rate Increase Ho Jayega, Aur Shayad Aapko Pee Ke Bhi Urges Aane Lage.

Dekhiye Aapka Brain Itna Amazing Hota Hai Visualization Ko Lekar, Aapke Body Ko Pata Bhi Nhi Chalta Hai Ki Ye Ek Imagined Experience Hai.

Ab..

Ye Aapka Time Hai Ki Respond Kare.

Discomfort Ko Feel Kare, Aur Phir Response Kare.

  • Aapko Apna Turn Miss Karne Par Give Up Nhi Karna Hai.
  • Aap Apni Race Strategy Par Hi Stick Karte Hai Chahe Aapka Competitor Early Lead Hi Kyu Na Le Le.
  • Aap Khud Ko Bolenge Ki Main Set Ke Time Aisa Discomfort Hone Mei Koi Problem Nhi Hai.
  • Aap Dekhte Hai Ki Aapke Legs Cement Bann Rahe Hai Phir Bhi Aap Kick Karte Rahte Hai.
  • Aap Jitna Fast Improve Karna Chahte Hai Utna Fast Na Improve Karne Par Bhi Aap Apne Process Par Stick Karte Huye Rahte Hai.

Is Tool Ke Liye Endless Applications Hai.

Apne Life Mei Wo Spots Visualize Kariye Jaha Resistance Ho…Aur Us Par Positive Response Add Kariye.

ADVERSITY KO AISE PRACTICE KARO

  1. Un Adversity Ke Moments Ko Write Down Kar Lo Jo Aap Water Mei Experience Karte Ho.
  2. Adversity Ko Visualize Karo. Use Sach Mei Feel Karo.
  3. Is Adversity Se Khud Ko Overcome Aur Push Through Karte Huye Feel Karo.

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Ejaj ansari
3 years ago

Play is very important for our life

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »