You are working on Staging2

Blind Banker Vijaykumar Kasivel Ne Disabled Swimmers Ke Liye Bnaya Sensor

Braden Keith
by Braden Keith 0

December 19th, 2019 Hindi

NewzHook Par Nikli News Jisme Btaya Gya Ki Kaise Blind Banker Vijaykumar Kasivel Ne Ek Sensor Develop Kiya Jo Disabled People Ko Swim Karne Ke Liye Karega Help, Bengaluru Mein Based Bank Manager Vijaykumar Kasivel Ko Swiming Karna Kaafi Pasand Hai. Totally Blind Person Hone Ki Wajah Se Unhe Swimming Pool Mein Swim Karne Ke Liye Support Ki Jarurat Hoti Hai. Isi Challenge Ne Unhe Is Sensor Ko Banana Ka Idea Diya Jisse Blind People Ko Independently Swim Karne Ke Liye Kaafi Help Mil Sakegi. Is Sensor Ko Unhoine Swimbuddy Naam Diya.

State Bank Of India Ke Manager Vijaykumar Kasivel 3 Saal Pahle Ek Office Trip Par Gaye The. Aur Unhone Us Trip Mein Cauvery River Mein Swimming Karte Huye Kaafi Enjoy Kiya Tha. “ Mujhe River Ke Shallow Part Mein Swimming Karne Ka Chance Mila Aur Maine Ise Kaafi Enjoy Bhi Kiya Tha. Tabhi Maine Decide Kiya Ki Ab Mai Swimming Properly Sikhunga Aur Main Eek Aisa Coach Dhunda Jo Mujhe Sikhane Ke Liye Ready The.” Vijaykumar Ne Kaha.

Unhone Apna Vision Retinitis Pigmentosa Ki Wajah Se Lost Kiya. Vijaykumar, Jo Ki Bengaluru Mein Rahte Hai, Totaaly Blind Person Hai. Unhone Apna Vision Tab Se Loose Karna Start Kar Diya Tha Jo Wo Sirf 9 Saal Ke The Aur Iska Reason Tha Retinitos Pigmentosa (Rp). Rp Ek Genetic Disorder Hai,Iski Wajah Se Aadmi Dhire Dhire Apna Vision Khone Lagta Hai. Vijaykumar Ne Apna Vision 25 Saal Tak Ki Age Tak Pahochte Huye Puri Tarah Se Lost Kar Diya Tha.

Aise Bahot Se Challenge Vijaykumar Ke Saamne Aaye The Jabunhone Swimming Karna Start Kiya Tha.

Vijaykumar Ko Aisa Device Banane Ka Idea Aaya Jo Ki Blind People Ko Bhi Swim Karne Mei Help Kar Sake. “Mai Ek Smart Cane Use Karta Hun Jo Ki Saksham Ke Dwara Developed Kiya Gaya Tha Jisme Vibrators The Aur Jo Obstacles Ko Detect Karne Mei Help Karte The. To Maine Socha Ki Kyu Na Ek Aisi Hi Device Banai Jaaye Jise Underwater  

Vijaykumar Ki Swimbuddy Same Usi Principles Par Kaam Karti Hai Jaisa Ki Smart Cane Karti Hai. Is Device Mein Transmitter Laga Hua Hai Aur Pool Mei Enter Karne Se Pahle Hi Ye Worn Kar Deta Hai. Ye Vibrate Karne Lagta Hai Agar Swimmer Ksis Wall Ya Phir Kisi Dusre Swimmer Ne Nazdik Pahoch Jaata Hai To. Aur Ye Yah Bhi Ensure Karta Hai Ki Swimmer Staraight Line Mei Hi Swim Kare.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »