You are working on Staging2

Kya AIU Swimming Championship 2019 Me World Record Bhi Bnega?

Braden Keith
by Braden Keith 0

November 02nd, 2019 Hindi

Ye Phli Baar Nahi Hai Ki All India University Swimming Competition Par Ye Arop Lga Ho Ki Unhone False Start Wale Swimmer Ko Support Kiya Hai Ya Timing Ke Sath Fer-Badal Kiya Hai. Iske Phle Bhi 2017 Me SwimSwam Ne Isi Topic Ko Cover Kiya Tha Jispr Pure World Ka Response Indian Swimming Community Ke Liye Aya Tha Jo Ki Kisi Bhi Indian Ko Pasand Nahi Aayega. Logo Ka Khna Hai Ki Agar Aisi Chiz Ko Sports Authority Hi Andekha Karti Rhegi To Kya Sach Me Ham Swimming Me Olympics Ke Podium Tak Ja Skte Hai? Ya Ham Sirf National Records Ke Charo Taraf Hi Limited Rah Jayenge? Ya Kya Ab AIU Jaise Events Me World Record Todne Ka Silsila Shuru Ho Jaygea? 2017 Ke Baad Aaj 2 Saal Ho Chuke Lekin Logo Ka Sirf Ye Question Hai Ki Aakhir Sports Authority Ne Abtak Koi Kada Kadam Kyu Nahi Liya?

Twitter Ki Is Post Par Shubham Vanmali Ne Btaya Ki Host University Ne swimmers ki real time ke sath ched-khani kari and galat swimmer ko Gold Medal bhi Diya Gya Lekin Jab Swimmers Ne Aaj Protest Kiya to Results ko dobara change kiya gya. Lekin abhi bhi swimmer is chiz se khus nahi hai ki akhir kyu host university ek fair result nahi de rhi.

Halaki Meri Baat Ek Official Member Se Hui Jisme Unhone Btaya Ki Phle Jo Results Tyar Hue The Wo Bina Unki Signature Approval Ke Hi Tyar Krke Post Kar Diye Gye The Jisko Baad Me Re-Check Kiya Gya Or Ye Paya Gya Ki Jo Real Timings Hai Usse Kafi Alag Time Results Me Likhi Hui Thi. Jiske Karan Us Results Ko Turrant Hta Diya Gya And Baad Me Un Official Member Ka Ye Bhi Khna Hai Ki Aage Se Jitne Bhi Results Aayenge Unko Phle Wo Khud Verify Krenge Tabhi Wo Publicly Show Kiya Jayega And Ye Confirm Kiya Jayega Ki Koi Bhi Galat Results Swimmers Ke Beech Na Jaye.

Baat Karke Ye Bhi Pta Chla Ki Swimmers Ki Timing Me 20-25sec Tak Kam Kiya Gya Hai.

Results before Protest

Results after Protest

Allegation Lane No 2 Ke Swimmer Sahil Chopra Par Lga Ki Unhone Kafi Early Start Liya And Kisi Bhi Official Ne Ispr Koi Reaction Nahi Dikhaya.

Is Matter Par Jyadtar Swimmers Ke Ye Manna Hai Ki All India University Swimming Ko Ab Swimming Federation Ke Andar Aa Jana Chahiye. Kyuki Isse Na Sirf Genuine Swimmers Ko Suffer Karna Pad Rha Hai Balki Unko Isse Mental Pressure Se Bhi Gujrna Pad Rha Hai. Kuch Swimmers Se Baat Krne Par Unhone Btaya Ki Wo Saal Bhar Is Event Ke Liye Mehnat Karte Hai Lekin Jab Aisa Kuch Unko Dekhne Ko Milta Hai To Unke Andar Se Hope Khtm Ho Jata Hai.

Whi Alleged Swimmer Ne Btaya Ki Unka Start Sahi Tha. Halaki Video Me Sabhi Ko Ye False Start Hi Lga And Ispr Kafi Sare Swimmers Ne Narajgi Jatayi Hai Or Host University Se Isko Check Karne Ke Liye Kaha Hai. Ye Sirf Ek Event Nahi Hai Jispr Logo Ne Allegation Lgaye Ho. 400m Freestyle Me Bhi Swimmers Ka Khna Hai Ki Same Swimmer (Sahil Chopra) Ki Timing Me Fer Badal Karke First Place Par Rakha Gya.

Prithvi Mahesh Ka Btana Hai Ki Officials Ne Yaha Tak Bol Diya Ki “Tum Logo Ko Jo Krna Hai Kar Lo Ham Usko(Sahil Chopra) Ko DQ Nahi Krenge”

Itni Khule Aam Cheating Dekh Kar Ek Swimmer Ke Parent Ne Ye Tak Bol Diya Ki “Mauka Accha Tha World Record Bhi Toda Ja Skta Tha”

Swimmers Ke Reactions:



Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »