Saturday ko Prakash Taran Pushkar mein start hui 73rd Glenmark National Swimming Championship mein udghatan diwas par 400 meter freestyle mei Gold medal jeetne ke baad, ace swimmer Shivani Katariya ne kaha ki, Agar hum Olympic mei Top-16 mein bhi jagah bana lete hai toh yah hamare Country liye bahot badi achievement hogi. “Mera immediate target Tokyo Olympic mein B Qualification achieve karna hai jiske liye mujhe 200 meter freestyle mein apni speed ko 2 second se aur behtar karne ki aavyasakta hai,” unhone kaha.
Shivani ko Swimming Federation Of India (SFI) ke dwara Rio Olympic 2016 mein India ke liye Wild card entry ke roop mein select kiya gaya tha, kyun ki aur dusra koi bhi Indian swimmer qualifier ke madhyam se select hone mein successful nahi raha tha. Voh ek akeli Indian women thi jo World level par compete karne ke liye select hui thi ya yun kahe ki unhone apni jagah banai thi. Aur is prakaar voh akeli thi jo Rio Olympics ke liye eligible thi. Olympic Qualification Time (OQT) ‘A’ time ke saath swimmer ki absence ki wajah se, 2016 mein India ko FINA dwara universality places par (one man and one woman) se sammanit kiya gaya.
Jaisa ki Shivani se expected tha unhone waisi hi performance ka pradarshan diya, Bhopal mein 400 meter freestyle event ke dauraan Shivani ne accha performance dete huye starting se hi lead bana li thi. Is lead ko badhaye rakhte huye unhone 4:27.31 ke time ke saath Gold medal jeeta. Unke domination ka andaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki is event mein Silver medal jeetne wali Assam ki swimmer Shivangi Sharma ne 4.30.55 time ke saath is event ko pura kiya, jabki is event mei Khushi Dinesh jo ki Karnataka se hai unhone Bronze medal jeeta.
Tokyo Olympic mein apne prospects ke baare mein baat karte huye Shivani ne kaha hai ki, “Mai hard work kar rahi hun. Mujhe us yogyata ko achieve ke karne ke liye apni speed ko 2 second kam karte huye aur behtar karna hoga. Mai is qualification ko achieve karne ke liye puri tarah se confident hun. Mai apne practice session ke dauraan is qualification time ko achieve karne mein saksham rahi hun.” Unhone yah clear kiya ki unka immediate target ‘B’ qualification time ko kaise bhi karke achieve karna hai.
India Olympic medallists produce karne mein kaamyaab kyun nahi raha hai, is bare mein puchne par Shivani ne kaha, “Hume better infrastructure banane ki kaafi jarurat hai. Mai khud Gurgaon mein rahti hun par daily practice karne ke liye mujhe Talkatora stadium jaana padta hai. Iska reason yah hai ki mai jaha par rahti hun waha aisa koi bhi swimming pool nahi hai jo hamesha open rahe aur jaha par jaa kar acche se practice ki jaa sake.”
Source: Times Of India
Other News:
Glenmark 73nd Senior National Aquatic Championships 2019
News, Tips And Workout Ke Liye Aap Swimswam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi Swimswam Hindi Ko Like Kar Le.