Times Of India Ke Source Se Indian Para Swimming Ke Liye Behad Khas News Aa Rhi Hai Jisme Btaya Gya Hai Ki Bengaluru Ke Para Swimmer Niranjan Mukundan Ne World Para Swimming Championships Ke Liye Qualify Kar Liya Hai. Halaki Kuch Time Se Niranjan Injury Se Jhujh Rhe The Lekin Recovery Ke Baad Unhone Kafi Behtar Comeback Kiya And World Para Swimming Championships Ke Liye Qualify Kiya. Unhone Ye Bhi Btaya Ki Unke Is Achievement Me Mental Training Ka Role Bhi Kafi Tha Jo Unhone Bengaluru Me Apne Coach Ke Sath Training Ke Dauraan Hasil Kari. Niranjan Ne Para Swimming World Series 2019 Me 200m IM Gold And 50m Butterfly Me Silver Medals Jeete Hai.
Last Year Ke Surgery Ke Baad Ye Medals Jeetna Niranjan Ke Liye Behad Khas Hai. Surgery Ke Baad Unko Ek Lamba Bed Rest Lena Pda Jisse Unki Training Par Bhi Asar Pada Lekin Unhone Btaya Ki Ye Medals Unke Liye Boost Ka Kaam Karenge.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule.
Facebook► SwimSwam Hindi