Aap Sabne Suna Hoga Ki Khelo India Ne Age Verification Ke Liye Ab Bone Test Krwana Start Kar Diya Hai, And Uska Results Ham Sabne Dekha Bhi Ki Kaise Overage Swimmers Ko Scholarships List Se Bahar Nikal Diya Gya. Lekin Ye Bone Test Hota Kaise Hai? And Iska Use Age Verification Me Kaise Kiya Jata Hai? Ye Sab Ham Aaj Is Post Me Dekhenge.
Bone Test:
Bone Test Ek Aisi Medical Process Hai Jisse Critical Situation Me Kisi Bhi Insan Ki Age Ka Pata Lgaya Jata Hai. Ham Sab Jante Hai Ki Ek New Born Baby Ke Body Me 350 Bones Hoti Hai And Ek Mature Insan Ki Bones Me Kafi Difference Hota Hai Jaise Number Of Bones Child Me Jyada Hota Hai And Age Ke Bdhne Ke Sath Sath Wo Bones Judti Rhti Hai And Jab Child Bada Hokar Mature(Age 25) Ho Jata Hai To Uski Body Me 206 Bones Rhti Hai. Bones Jab Judti Hai To Uss Process Ko Fusion Of Bones Kaha Jata Hai. And Ye Process Mature Hone Tak Ki Age Ke Har Stage Me Hoti Hai And Isi Se Age Ko Bhi Determine Kiya Jata Hai.
Iska Process X-Rays Ki Help Se Kiya Jata Hai, Sabse Common Jo Tarika Hai Wo Left Hand Ki Fingers, Wrist Ka X-Ray Lekar Kiya Jata Hai.
Iss Process Se Jo Result Milta Hai Wo Original Age Ko Ekdam Accurate To Nahi Lekin Kafi Hadd Tak Original Age Ke Aas Pass Tak Ke Results Ko Btata Hai.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
- Telegram: SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega