Agar Aap Apne Time Me Kuch Seconds Kam Krna Chahte Hai Ya Apni Swimming Ko Next Level Par Le Jana Chahte Hai To Apne Nutritional Plan Par Gaur Kriye. Improvement Start Hoti Hai Body Ko Sahi Fueling Dene Se Aur Sahi Nutrients Dene Se Ya Sahi Fueling Krne Se Ye Aapko Tough Training Ke Baad Body Ko Recovery Krne Me Kafi Mdad Krte Hai, Baki Energy Drinks, Protein Shake Ye Sab Iske Baad Aate Hai Phle Basic Nutrients Ka Sahi Ratio Body Tak Pahuchna Chahiye. Isliye Ham 6 Superfoods Ke Bare Me Btane Ja Rhe Hai Jo Apki Body Aur Swimming Dono Me Ek Superchange Layega.
- Garlic: “The First Performance Enhancing Supplement”
- Rhodiola: Stress Ko Control Krne Me Madad Krta Hai
- Blueberries: Brain Power Ke Liye
- Spirulina: Protein For Power
- Leafy Greens: Don’t Forget To Eat Your Greens
- Beets: A Pre-Exercise Performance Booster
- Chia Seeds
- Wheatgrass
- Seaweed
- Kohlrabi
- Avocados
- Green Tea
Ab Ye To Ho Gyi 6 List Ki Baat Ab Inke Bare Me Bina Jane Aap Iska Use Nahi Kar Skte Isliye Isko Ek Ek Krke Ham Smjhte Hai.
1)Garlic
Garlic Sabse Shuruwati Smay Se Athletic Competitions Me Istemaal Hote Chla Aa Rha Hai, Ancient Greece Me Olympic Athletes Competition Ke Phle Garlic Khate The. Aur Isko Direct Na Leke Apne Foods Me Mila Kar Lete The Jo Cardiovascular Health Ko Improve Krta Hai, Iske Alawa Immune System Ko Boost Krta Hai. Garlic Ke Pass Anti Cancer Property Bhi Hoti Hai. Ye Cholesterol Ko Bhi Level Me Rkhne Me Madad Krta Hai Or Ye Sab Swimming Me Kafi Importance Rakhti Hai. 600 Se 1200mg Garlic Roz Lena Chahiye.
2)Rhodiola
Rhodiola Basically Ek Herb Hai Or Ise Adaptogen Ke Name Se Bhi Jana Jata Hai, Jo Body Ko Physical, Psychological, Chemical Or Biological Stress Se Bachata Hai Or Swimming Me Ye Teeno Chiz Hoti Hai. Isliye Iska Use Swimmers Ke Liye Kafi Faydemand Hai Sabhit Hota Hai.
3)Blueberries
Dark Berries Jisme Blueberries, Cranberries Or Bilberries Hote Hai, Ye Sabhi Anthocyanins Or Powerful Antioxident Compounds Hote Hai Jo Liver Ko Protect Krte Hai Or Liver Fat Ko Kam Krte Hai Or Ye Bhi Garlic Ki Trah Cardiovascular Health Ko Improve Krte Hai. 60-120gram Blueberries Roj Lena Accha Hota Hai.
4)Spirulina
Spirulina Ek Blue-Green Algae Hoti Hai Jo Phytonutrients, Protein Or Amino Acid Ka Ek Accha Resource Hota Hai. Isme 55-70% Tak Protein Hota Hai.
5)Leafy Greens
Leafy Greens Jaise Pattedar Hari Gobhi Apke Nutritional Plan Ke Liye Kafi Beneficial Sabhit Hui Hai. Khaskar Jab Baat Balance Diet Ki Hoti Hai Tab Leafy Greens Ki Importance Jyada Hoti Hai. Leafy Greens Ek Achi Antioxident Hoti Hai Or Body Ke Internal Process Me Help Karti Hai. Leafy Greens Magnesium Ka Ek Accha Resource Hoti Hai Jo Ki Maine Phle Bhi Btaya Hai Ki Body Ko Recover Krne Me Kafi Help Krti Hai.
6)Beets(Chukandar)
Beets Ya Chukandar Pre-Training Ke Phle Liya Jata Hai Or Yah Ek Supplement Ki Trah Istemal Kiya Jata Hai Jo Performance Ko Boost Krta Hai. Beets(Chukandar) Nitrate Ka Accha Source Hota Hai, Jo Blood Vessels Ko Increase Krne Me Madad Krta Hai Or Blood Ke Flow Ko Improve Krke Oxygen Ko Body Ke Har Part Tak Shi Amount Me Pahucha Deta Hai. Or Ham Ye Jante Hai Ki Jitna Jyada Oxygen Hmare Muscles Tak Pahuchega Utni Ki Asani Se Ham Kisi Bhi Physical Kaam Ko Kar Skenge.
I Hope Ki Ye Article Aapko Aacha Lga Hoga!
7)Chia Seeds
Chia Seeds Jo Ki Ek Great Source Hota Hai Omeg-3s, Fiver And Calcium Ka. Chia Seeds Ka Koi Khas Taste Nahi Hota Hai But Ye Seeds Agar Yogurt, Protein Shakes Ya Oatmeal Ke Sath Liye Jaye To Ye Apki Body Ke Liye Kafi Accha Perform Kar Sakte Hai.
8)Wheatgrass
Iska Mai Kuch Khas Fan To Nahi Hu Kyuki Iska Taste Mujhe Nahi Pasand. Wheatgrass Juice Minerals And Vitamins Se Bhra Hua Hota Hai, Ye Swimmers Ke Liye Kafi Jyada Faydemand Hota Hai Kyuki Ye Ek Recovery Drink Ki Tarah Istemal Hota Hai Or Potassium Ka Bahut Hi Accha Source Hota Hai.
9)Seaweed
Dinner Ke Sath Seaweed Lena Kafi Acha Hota Hai, Green And Crunchy, Jyadatar Soy Souce Ke Sath Serve Kiya Jata Hai.
10)Kohlrabi
Ye Thoda Rare Hai Agar Mil Jata Hai To Bahut Acha Hoga. Ye Sweet Vegetable Vitamins And B-6 And Vitamin C Se Bhra Hu Hota Hai.
11)Avocados
Avocados Aaj Kal Bahut Popular Hai And Ye Popular Hona Bhi Chahiye Kyuki Avocados Me Healthy Fat Content Hota Hai, Avocados Me Banana Se Bhi Jyada Amount Me Potassium Hota Hai.
12)Green Tea
Mai Green Tea Unko Recommend Karta Hu Jo Coffee Ka Alternative Dhundh Rhe Hai, Green Tea Anxiety Se Relieve Krati Hai And Bad Cholesterol Aur Blood Pressure Ko Bhi Normal Kar Deti Hai.
More Workout On Swimswam Hindi:-
- SPRINT AUR DISTANCE FREESTYLE WORKOUT
- SOLID BREASTSTROKE WORKOUT
- FAST AND FURIOUS 8 WORKOUT
- FINIS SET OF THE WEEK TRANSITIONING TO LONG COURSE(HINDI)
- OPEN WATER SWIMMING WORKOUT PART 2 (IN HINDI)
- HIGH SCHOOL SWIMMERS KE LIYE IM WORKOUT
- BACKSTROKE WORKOUT FOR SWIMMERS IN HINDI
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
- Telegram: SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega