Jaha 60-70 Ki Age Me Log Park Me Jakar Stroll Krte Hai Whi 82 Saal Ke Om Autar Seth Roj Swimming Krne Jate Hai. Om Autar Seth Ne 50 Saal Tak Asthma Se Ldai Kari Hai. Aur Aaj Wo Hyderabad Se New Zealand Ke Liye Ja Rhe Hai Or India Ko World Master Games Me Represent Krenge.
Seth Local Swimming Pool Me Apne Stroke Ko Perfect Krte The Or Dhire Dhire Improvement Ke Sath Unhone Apne Stroke Ko Is Kabil Bnaa Liye Jisse Wo Lagbhag Har Competition Me Gold Medal Pate Hai.
Seth Kahte Hai:- Sirf 15 Saal Phle Maine Swimming Ko Seriously Liya Tha. Aur Aaj Mai 82 Ki Age Me Itna Tyar Ho Chuka Hu Ki Lagbhag 1hr Tak Bina Ruke Swimming Kar Skta Hu. Jo Log Asthma Se Jhujh Rhe Hai Unko Swimming Jrur Sikhna Chahiye Or Swimming Ko Apne Daily Routine Me Shamil Kar Lena Chahiye.
Mai World Master Games Me 400,800m Freestyle Me Participate Kar Rha Hu. Ye Mera Phla International Tour Hai. (Iske Phle Seth Ne National Level Par Kafi Sare Medals Jite Hai.)
Kisi Bhi Sports Me Master Hone Ke Liye Time Kam Nahi Hota, Yaha Tak Ki Mere State Ke State Sports Authority Director Ne Bhi Mujhe Sponsor Krne Se Mna Kar Diya Tha, Jiske Karan Mai Kisi Bhi Team Ka Hissa Nahi Tha Or Wahi Baat Mujhe Encourage Karti Rhi Aur Aaj Mai Ek International Swimmer Ban Gya Hu. Jisse Mai Kafi Khus Hu.