Spina bifida ke saath janme, 19 surgeries se gujre, phir bhi 100 international medals jeetna koi mamuli baat nahi hai. Niranjan Mukundan, International medals ki century complete karne wale first Indian para swimmer, ko apni medical condition ke karan swimming choose karni padi.
Niranjan ka janm spina bifida naam ki bimari ke saath hua tha, jo ak aisi medical condition hai jisme spinal cord ka ak part thik se form nahi hota. Unke doctors ne unhe suggest kiya tha ki wo apni muscles ko strong karne ke liye horse riding or swimming me se koi ak choose karein. Unhone swimming choose kiya.
Niranjan me India TV se interact kiya aur apni journey and apni achievements and unn challenges ke baare me bataya jinse paar pakar wo aaj iss mukam pe hain.
Question: Aap kai logon ke liye inspiration rahe hain. Kya aap humein bata sakte hain ki aapki journey kaise start hui, aap swimming me kaise aaye aur aapko professionally isme Bane rahne ke liye kis baat ne inspire kiya?
Main Spina bifida naam ke medical condition ke saath paida hua tha. Jiske liye mujhe abhi tak 19 surgeries karani padi. Doctor ne mujhe horse riding aur swimming me se koi ak choose karne ka suggestion diya. Iss tarah main pool me aaya aur ak tarah se mujhe paani pasand aaya kyunki bachpan me 5 saal tak main chal nahi saka. Iss tarah se main pool se introduce hua, 6 mahine baad maine competition me participate kiya aur silver medal jeeta. Tab se main national aur international level ke competitive sport me aaya.
Question: Aap 2024 ke Paralympic me participate karne wale the, lekin aap kar nahi paaye. Toh iss baare me aapke kya thoughts hain? Saath hi next Paralympic abhi 4 saal door hai. Toh aap iske liye khud ko kaise motivated rakhenge?
Toh swimming me, hamare paas kuchh qualifications hain. Main ak event me A qualification me sirf half a second pichhe tha. Main last 6-8 months se France me training le raha tha and last kuchh days me fever ho gaya aur mere pair me infection ho gaya. Spina bifida wale logon aur knee ke niche sensation na rakhne wale logon me ye bahot normal hai.
Ak first degree ulcer ban gaya tha jis wajah se mujhe baar baar bukhar aa raha tha aur thand lagne lagi thi, main jitni baar ho sake utni baar pool me nahi ja pa raha tha aur fever ki wajah se main bahot si qualification race se miss kar raha tha. Jab maine India me apni team aur doctor se contact kiya toh humein pahle mere health ko priority dene ka decision lena pada kyuki agar iss time treatment na hoti toh ulcer aage aur problems create karti.
Isliye mujhe Paralympic ke liye baaki qualifications se withdraw karne aur aage ki treatment ke liye ghar wapas aane ke liye kaha gaya. Next question ke answer ke liye ki Los Angeles 4 saal door hai. Main ise ak din me ak baar lena chahta hun. Ak time me ak event, ab mujhe pata hai ki ye injuries baar baar hongi aur wo meri medical condition ka part and parcel hain kyunki mujhe birth se medical issue hai.
Question: Aap 19 surgeries karwai hai, toh ye aapke liye kitna challenging tha?
Meri first surgery tab hui thi jab main 9 mahine ka tha aur meri last surgery kuchh saal pahle hui thi. Chhote hone pe kuchh pata nahi chalta kya ho raha hai lekin jab aap kisi professional game me hote ho toh phir koi injury ya surgery hoti hai toh aapkl pata chalta hai ki aap kam se kam 8-10 weeks ke liye game se bahar ho gaye hain ye mentally aur physically bahot alag tarah se affect karta hai kyunki aapne competitions ke liye bahot training li hoti hai.
Isliye ye bahot tough period hai, lekin last kuchh saalon se maine samajh liya hai ki ye sabhi cheezen meri life ke parts hain.
Question: Aapki success me aapke parents ne ab tak aapko journey me kis tarah se contribute kiya hai?
Mere parents mere pillar hain. Mere parents aur meri family mere first supporter hain. Unhone mujhe wo sab kuch diya hai jiski mujhe jarurat hai aur wo hamesha mere bad time me mere saath rahe hain. Isliye agar wo nahi hote, toh mujhe nahi lagta ki main itni door tak pahonch pata.
Question: Future events ke liye aapke kya plans hain? Apne rehab ko complete karne ke baad aap kisme compete karna chahenge?
Basically, ye sirf national championship hogi jo October ke end me Goa me hone wali hai. Isliye iss saal ke liye ye mera event hoga, rehab ke alawa aur phir main Europe ke liye udaan bhar sakta hun. India ke alawa ye mera training base hai. Maine do saal tak Germany me training ki aur ab maine apna training base France me shift kar liya hai aur Germany me ak club ko bhi represent karta tha. Club ko represent karne ke liye winter season me whan ja raha hun aur next year phir se hamare paas Singapore me World Championships hai. Isliye main usse pahle achhi shape me wapas aane aur phir next year apni qualification aur baaki ki cheezon ke saath start karne ke liye excited hun.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi